Hamzaking
12-19-2009, 04:42 PM
Meray charagar
Meray dard ki tujhay kia khabar
Tou meray safar ka shareek hay
Nahi humsafar
Teray hath say meray hath tak
Wo jo hath bhar ka tha faasla
Kayee mousamoun mein badal gaya
Usay naptey,usay kaat-tey,
mera sara waqt nikal gaya
Nahi jis pay koyee nishan-e-pa
Meray samney hay wo raah guzar
Meray charagar,
Meray dard ki tujhay kia khabar
Yeh jo raig-e-dasht-e-firaaq hay
Meray raastoun mein bichi howi
Kisi mourh pay rukay kahein
Yeh jo raat hay meray chaar sou
Magar iski koyee sahar nahi
Na chaoun hay na samar koyee
Mein nay chaan daikha shajar shajar
Meray charagar
Meray dard ki tujhay kia khabar!!!!!!
Meray dard ki tujhay kia khabar
Tou meray safar ka shareek hay
Nahi humsafar
Teray hath say meray hath tak
Wo jo hath bhar ka tha faasla
Kayee mousamoun mein badal gaya
Usay naptey,usay kaat-tey,
mera sara waqt nikal gaya
Nahi jis pay koyee nishan-e-pa
Meray samney hay wo raah guzar
Meray charagar,
Meray dard ki tujhay kia khabar
Yeh jo raig-e-dasht-e-firaaq hay
Meray raastoun mein bichi howi
Kisi mourh pay rukay kahein
Yeh jo raat hay meray chaar sou
Magar iski koyee sahar nahi
Na chaoun hay na samar koyee
Mein nay chaan daikha shajar shajar
Meray charagar
Meray dard ki tujhay kia khabar!!!!!!