Lucky
12-17-2009, 06:33 PM
Fasla kuch bhi nahi do dilon ke darmiyan
Parda-e-deewar he aangano ke darmiyan
Dushmano se yun tu sab hi muhtaat rehte hain
Zinda rehna bhi aik kamal he doston ke darmiyan
Sirf saya hi nahi kuch dhoop bhi tu cahiye
Nakhul koi kaise barhta bargadon ke darmiyan
Munjamid parchaion me kho gye hain aqamatien
Tajurbe ase hue hain wehshaton ke darmiyan
Faisley me tajurbon ka dakhal hota kuch agar
Aaieny ko na rakhte hum pathron ke darmiyan