Log in

View Full Version : Udaas


! HEER
10-26-2008, 02:29 PM
Udaas

Aye dil-e-raayegaan udaas udaas
Phir rahay ho kahan udaas udaas

Chaand aik umer sey safar mein hai
Aasmaan aasmaan udaas udaas

Jab bhi dekha hai jhaank ker dil mein
Ho gaya sab jahaan udaas udaas

Zindagi khail hai udaasi ka
Ham yahan tum wahan udaas udaas

Phirtay rehtay hein ham mohabbat mein
Muzmahil, naatawaan, udaas udaas

Sochta hoon ke meray seenay mein
Janay kya hai nihaan udaas udaas


Kya udaasi siva nahin kuch bhi
Aye meray laa-makaan udaas udaas

Raat bhar jaagtay ho kyun aakhir
Iss tarah meri jaan udaas udaas

Ik taraf gham hein, ik taraf khushiyaan
Aur main darmiyaan udaas udaas

Saaray kirdaar hein mohabbat ke
daastaan daastaan udaas udaas

Yeh wohi hein hamaray 'Farhat' ji
Shair bey-karaan udaas udaas

Ham se hassas log 'Farhat' ji
Reh rahay hein yahan udaas udaas

Bin tere hua Hai Farq kuch khas nahi
Lagta hai yeh Jahaan Udaas Udaas

safa
10-26-2008, 02:34 PM
nice

Hussain
10-26-2008, 02:35 PM
wah wah

! HEER
10-26-2008, 02:40 PM
thx sis or himi

Hani
10-27-2008, 02:20 AM
nice

! HEER
10-27-2008, 01:17 PM
thx hANI

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.