ShArArTi MuNdA
10-26-2008, 12:57 PM
Funkar Hai To Haath Main Suraj Saja k La
Bujhta Howa Diya Na Muqabil Hawa k La!
Darya ka Inteqaam Dubo Day Na Gher Tera
Sahil Say Roz Roz Na Kankar Utha k La!
Ab Ikhtataam Ko Hai Sakhi,Harf-e-Iltamas
Kuch Hai To Ab Woh Samnay Dast-e-Dua k La!
Paiman Wafa k Bandh Magar Soch Soch Ker
Iss Ibtada Main Yun Na Sukhan Inteha k La!
Aaraish-e-Jarahat-e-Yaran ke Bazm Hai
Jo Zakhm Dil Main Hain Sabhi Tan Per Saja k La!
Thori See Or Moj Main Aa, Aye Hawa-e-Gul
Thori See Uss k Jism Ke Khushbu Chura k La!
Gar Sochna Hain Ahl-e-Mashiyat k Hoslay
Medan Say Gher Main, Ek To Maiyat Utha k La!
****** Ab Uss Ka Naam Hai Sab Ke Zubaan Per
Kis Nay Kahan k Uss Ko Ghazal Main Saja k La!