(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
12-07-2009, 07:19 AM
Pathar hi sahi, rah mein haayel to rahon ga
Kuch dair tera mad-e-mukabil to rahon ga
Jb tk teri bakhshish ka bharam khul nahin jata
Aye meri shakhi, mein tera saayel to rahon ga
Is wasty zinda hoon sar-e-maqtal-e-yaraan
Wabasta kam-zarfiyay-e-qaatil to rahon ga
Aye taiz hawa mera dhoowaan dekh ky jana
Bujh kr bhi nishan-e-rah-e-manzil to rahon ga
Dushman hi sahi naam to ly ga mera too bhi
Yoon mein teri awaz mein shamil to rahon ga
Jb tk mein baghawat na kron jabr-o-sitam sy
Zindaan mein hoon paband-e-salasil to rahon ga
Mohsin zad-e-aada sy agr mar bhi gya mein
Mayaar-e-tameez-e-haq-o-baatil to rahon ga