(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
12-03-2009, 09:28 AM
Tamam umar wohi qisa- safer kehna !
K aa saka na hamein apnay ghar ko ghar kehna
Jo din chadhay to teray wasal ki dua kerna
Jo raat ho to dua hee ko bay asar kehna
Yeh keh k doob gaya aaj aakhari sooraj
K ho sakay to issi shab ko aab sehar kehna
Mein aab sakoon say rahoon ga k aa gaya hai mujhe
Kamal-e-bayhunari ko bhi ek hunar kehna
Woh shakhs mujh say bohat bad guman rehta hai
Yeh baat uss say kaho bhi to soch ker kehna
Kabhi woh chand jo pochay k sheher kaisa hai ?
Bujhay bujhay howay lagtay hain baam-o-dar kehna
Hamaray baad azeezo , hamara afsana !
Kabhi jo yaad bhi aaey to mukhtasir kehna
Woh aik mein k mera shehar bhar ko apnay siwa
Teri wafa k taqazoon say bay khaber kehna
Woh aik tu k tera her kisi ko mairay baghair
Maeamalat -e-muhabbat main muetaber kehna
Wafa ki tarz hai Mohsin k maslihat , kia hai ?
Yeh tera dushman-e-jaan ko bhi chara ger kehna