PDA

View Full Version : Ussay apnay farda ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha


(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
11-20-2009, 11:27 AM
Ussay apnay farda ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha

Woh jo uss ki subh-e-urooj thi wohi mera waqt-e-zawal tha

Mera dard kaisay woh janta, meri baat kaisay woh manta

Woh tou khud fana kay safr mein tha, ussay rokna bhi ma'haal tha

Kahan jao gay muje chor kay, mein pooch pooch kay thak gya

Woh muj ko jawab na day saka, woh tou khud sarapa-e-sawal tha

Dam-e-wapsi ussay kya hua, na woh roshni na woh tazgi

Woh sitara kaisay bikhar gya jo aap apni misal tha

Woh mila tou sadyoon kay baad bhi merey lab pe koi gila na tha

Ussay meri chup ne rula diya jissay guftugoo mein kamal tha

Lucky
11-21-2009, 08:57 AM
Yea poetry jab bhi read karta hon Zindagi ka flashback on ho jata he lolzzzz

Buhat khubsurat shairi he yea wakai sab se munfarid

kuch Ashaar aap ki nazer karta hon mulahiza farmaiye

Hum say hota wo kisi aur bahanay say ALAG
Hum nay chaha hay jissay saray zamanay say ALAG

Hum say bichra to khula bheed yea hum par ek shaks
Apnay ghar say hi nahi tha wo gharanay say ALAG

Chain lenay na dia gardish-e-dooran nay mujhay
Mera kissa hay mohabbat kay fasanay say ALAG

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
11-22-2009, 01:49 PM
wow beautiful...... bht khooob

jalpari
11-22-2009, 05:44 PM
nice sharing...........

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
11-23-2009, 07:35 AM
thanksss

Ghuncha
11-24-2009, 07:33 PM
Nice .......

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
11-24-2009, 10:42 PM
thanks

`~`^3^`~`DiL`~`^3^`~`
11-29-2009, 01:53 PM
nice shairing

aisharus
11-29-2009, 05:30 PM
Shukriya..........

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
11-30-2009, 03:40 AM
thanksss

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.