(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
11-20-2009, 11:19 AM
Jaanay kyun achanak ye raastay viraaan lagte hain
Jo thay apnay kabhi, aaj wo bhi anjaan lagte hain
Kya tha uss mein kay maan behte hain usse hum khuda
Aur usse inteha-e-ishq main bhi hum faqat insaan lagte hain
Paaye nahi jaatay zehen mein uske naqsh-e-chahat
To dag magaaye huay apnay imaan lagtay hain
Bhikre hain kitnay hoslay ankhon ki gehrayon main
Thamay huay ye ashq bhi mujhe aaj toofaan lagte hain
Na firaaq na visaal hai, uska ehsaas bhi ik saraab hai
Uske sab jhoot bhi mujhe apni pehchaan lagtay hain