Log in

View Full Version : kaha us ne Mohabbat mein aazmahish na kiya karo


(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
11-18-2009, 04:29 AM
kaha us ne Mohabbat mein aazmahish na kiya karo
kaha maine isse nibhane ki farmahish na kiya karo

kaha us ne dubaraa mud kar tum na dekhna mujh ko
kaha maine dekhe bin ab gawara nahi jeena mujh ko

kaha us ne kitabon ke panne palat kar sochana kyuN?
kaha maine sochti hu bin mere tum itne tanhaa KyuN?

kaha us ne judai kaa pal bhi kitna duswaar hota hai
kaha maine Jivan ye fir bhi kisi par nisaar hota hai

kaha us ne haatoN meiN mehandi sajaa kar milna
kaha maine sar-e-aam chahat apni jataa kar milna

kaha us ne wafaa kii ummiid nahi e bewafaa tujhse
kaha maine bawafaa sahii nibhaaungi wafaa tujhse

kaha us ne kab is begane ko kisika shahaara milega
kaha maine tham le haath ye tujh ko kinaara milega

kaha usne aakhon ke saare ashQ tum bahaa kar sona
kaha maine meri yaadoN ka Diya tum bujhaa kar sona

Lucky
11-18-2009, 04:33 AM
buhat hi umdah janab-e-aali

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
11-18-2009, 04:38 AM
:sword: acha thanks

Lucky
11-18-2009, 04:38 AM
u welcome .

!~*AdOrAbLe*~!
11-18-2009, 08:29 AM
lovly v nice.......

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
11-18-2009, 08:51 AM
thanks sis

Ghuncha
11-19-2009, 11:31 PM
Nice .......

~wish munda~
11-19-2009, 11:32 PM
aowsum..

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
11-20-2009, 04:10 AM
thanks

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.