K@IN@@T
11-06-2009, 08:04 PM
Muhabbat bewafa hargiz nahi hoti,
muhabbat karne wale,
laakh andeshon mein ghir jayen,
muhabbat kar k pachtayen,
to un k apne kehne se,
muhabbat bewafa hargiz nahi hoti,
Muhabbat sirf ik tarz-e-ibaadat hai,
muhabbat khud KHUDA hargiz nahi hoti,
muhabbat ik diya hai,
jo faseel-e-dil pe roshan hai,
muhabbat noor ki pehchan ka,
pehla hawaala hai,
muhabat se ujala hai,
muhabbat ki nahi jati,
yeh ho jati hai aksar,
aur ho jaye to,
tarhpaati hai,
tarhpaati bhi aisi hai,
ragon mein khoon chalta hai na rukta hai,
saraapa ajnabi zakhmon se dukhta hai,
muhabbat rog ban jati ha,
rog aisa,
k koi kaam karne ko nahi jee chahta,
had yeh k mane ko nahi jee chahta,
LEKIN,
MUHABBAT BEWAFA HARGIZ NAHI HOTI................
muhabbat karne wale,
laakh andeshon mein ghir jayen,
muhabbat kar k pachtayen,
to un k apne kehne se,
muhabbat bewafa hargiz nahi hoti,
Muhabbat sirf ik tarz-e-ibaadat hai,
muhabbat khud KHUDA hargiz nahi hoti,
muhabbat ik diya hai,
jo faseel-e-dil pe roshan hai,
muhabbat noor ki pehchan ka,
pehla hawaala hai,
muhabat se ujala hai,
muhabbat ki nahi jati,
yeh ho jati hai aksar,
aur ho jaye to,
tarhpaati hai,
tarhpaati bhi aisi hai,
ragon mein khoon chalta hai na rukta hai,
saraapa ajnabi zakhmon se dukhta hai,
muhabbat rog ban jati ha,
rog aisa,
k koi kaam karne ko nahi jee chahta,
had yeh k mane ko nahi jee chahta,
LEKIN,
MUHABBAT BEWAFA HARGIZ NAHI HOTI................