K@IN@@T
11-04-2009, 07:25 PM
Ae Khuda jab Bhi Tera Asmaan Dekhta hon,
Us mai Basa Ek Jahaan dekhta hon,
Najaney kitny he Jahanon ki Sair karta hon,
Khol kar jub Tera Quran dekhta hon,
Tere Ehsaan Kitne hain Bandon pe,
Jub bhi main Surah Rehman dekhta hon,
Tu to Kehta hai Rag-e-Jaan se bhi hon main qareeb,
Phir Pareshan kyun Aaj ka insan dekhta hoon,
Uski Rehmat se Kabhi Mayoos na hona Aye Dost,
Tujh pe main Uski Rehmat ke nishan Dekhta hon.