K@IN@@T
11-03-2009, 07:31 PM
jis tarah ki hain ye divaaren ye dar jaisaa bhi hai
sar chhipaane ko mayassar to hai ghar jaisaa bhi hai
us ko mujh se mujh ko us se nisbaten hain beshumaar
meri chaahat kaa hai mahavar ye nagar jaisaa bhi hai
chal paDaa huN shauq-e-beparvaah ko murshad maan kar
raastaa pur_pech hai yaa pur_Khatar jaisaa bhi hai
sab gavaaraa hai thakan saari dukhan saari chubhan
ek Khushbuu ke liye hai ye safar jaisaa bhi hai
vo to hai maKhsus ik teri mohabbat ke liye
teraa 'Anwar' baa_hunar yaa be_hunar jaisaa bhi hai