!~*AdOrAbLe*~!
11-03-2009, 01:23 AM
Dukh Hanstay Hain
*********************
jab ankh main ansoo aatay hain
jab dil ki dharkan roti hai
jab door kahi'n sannatay main ik chaap si koi hoti hai
jab man main ansoo girtay hain
dukh hanstay hain , dukh hanstay hain
jab door koi koyal bolay
jab biphri mojai'n mill jaie'n
jab pairr se patta gir jaye
jab man hi man main aksar hum
subh-o-shaam sulagte hain
dukh hanstay hain , dukh hanstay hain
jab raat k saaye dhalte hain
aur panchi pankh andhaire main
ghar lot kay aya karte hain
phir hum jese deewanay log
prem ki aag main jalte hain
dukh hanstay hain , dukh hanstay hain
jab takya aksar raato'n ko
raazo'n ka bojh uthata hai
jab bichre waqt ka zaad-e-sama'n
ankhon ka bojh ghatata hai
jab lab aapas main milte hain
dukh hanstay hain , dukh hanstay hain
jab waqt k koray kaaghaz per
bas rang bharna rehta hai
aur sang chalna rehta hai
phir apne sath samandar paar
door kahi'n ja baste hain
dukh hanstay hain , dukh hanstay hain...!
*********************
jab ankh main ansoo aatay hain
jab dil ki dharkan roti hai
jab door kahi'n sannatay main ik chaap si koi hoti hai
jab man main ansoo girtay hain
dukh hanstay hain , dukh hanstay hain
jab door koi koyal bolay
jab biphri mojai'n mill jaie'n
jab pairr se patta gir jaye
jab man hi man main aksar hum
subh-o-shaam sulagte hain
dukh hanstay hain , dukh hanstay hain
jab raat k saaye dhalte hain
aur panchi pankh andhaire main
ghar lot kay aya karte hain
phir hum jese deewanay log
prem ki aag main jalte hain
dukh hanstay hain , dukh hanstay hain
jab takya aksar raato'n ko
raazo'n ka bojh uthata hai
jab bichre waqt ka zaad-e-sama'n
ankhon ka bojh ghatata hai
jab lab aapas main milte hain
dukh hanstay hain , dukh hanstay hain
jab waqt k koray kaaghaz per
bas rang bharna rehta hai
aur sang chalna rehta hai
phir apne sath samandar paar
door kahi'n ja baste hain
dukh hanstay hain , dukh hanstay hain...!