PDA

View Full Version : bhool bhaitay hum


(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
11-01-2009, 10:30 AM
bhool bhaitay hum



aaj humney jo culture apna lia hai wo hamarey mazhab sey mutabiqat nahe rekhta hum aaj kal bohat sey kaam aesey kertey hain jis ki hamari mazhab ijazat nahe daita aur yeh sab kuch hamare hi ghltiyun ki waja sey hoa hai k hum apna aap bhool gaye hain aur doosron ka bhaes badalnay k chakker mai perh gaye hain

aaj kal hum logo ki mazhabi maloomat apney islam ki had tak sirf itni hi reh gai hain k namaz perh li aur roza rekh lia balkay hum mai sey 70% tu wo bhi hon gay jinhey namaz ki hi fursat nahe hai , kitne ajeeb baat hai na iblees nay aik baar sajday sey inkaar kia tha aur hum din mai kitni baar kertey hain kia kabhi ghoar kia humney

ek bohat aam si example hum loag songs kitnay mazay sey suntay hain balkay bohat sey loag tu music ko roh ki ghaza bhi kehtey hain magar kia kabhi kisi ney socha k hamara mazhab hamey ganay sunney ki ijazat nahe daita allah ney kaha hai jis ney yahan dunya ki moseeqi sey apney aap ko bachaya mera waada hai k mai usey jannat k naghmay sunwaoon ga (sorry to say mere baat bohat sey loagon ko talkh lag sakti hai but it is fact truth is always bitter )

kehney k musalmaan reh gaye hain hum loag aur bus kehtey tu barey fakhar sey hain k nabi k bataye hoa tareeko per zindagi basar kerni chahiye per zara apney andar jhaank ker tu dhaikein k kitney un k bataye hoa asool apnaye hoa hain. shayad sahe tarah tu ek bhi nahe sunnatain kia hain bohat sey loag tu sunnat k maa'ni hi nahe jantey kaja yeh kia janey gay k pani peenay ki kia sunnat hai khana khaney ki sonay ki wazu ki kia sunnat hai.

hamara culture kia hai islami lehaz sey , apney allah aur us k bataye hoa asoolon k mutabiq zindagi basar kerna ( is baat per soocha zarur k itney asool apnaye hai hum ney )

hamari badnaseebi is sey berh ker kia hogi k hum Quran paak perh tu laitey hain per usey samajhney sey kasir hain kitney mazay sey sura Yaseen perh li SUra Rehmaan perh li magar us mai kia kaha ja raha hai hum us sey na'waqif hain kyun k humay arbi hi nahe aati hai . hum mai sey kitney loag hon gay jo Quraan ko tarjumay k saath perhtey hon gay , ginti k chund loag . yeh hai hamara culture bacchay k kaan mai azaan tu day daitey hain per usey agay ja k islam k bataye hoa tareeko k mutabiq zindagi guzarna nahe sikhaty.

aik aam misaal agar hum aaj kisi ko sharaye daari mai dekh lein tu uska mazaak uraya jaata hai k mulla aur molvi keh k aesa kertey hoa unko kabhi eksaas nahe hoa k hamarey nabi ko kitne pasand hai mard k chehray pey daari . aas paas nigah uthaiyee kitney loogon nay apney nabi ki is sunnat ko zinda rekha hoa hai bohat kam loag aatay mai namak k barabar yeh ibrat ka muqaam hai hamrey lia

ho sakta hai bohat so ko mere baatein buri lagain magar waqai hum apni haqeeqat kho chukey hain is dunya mai reh ker aakhirat ko hamesha rehnay wali zindagi ko bhool bhaitey hain kia kabhi kisi nay yeh socha agar kal mai mar jaoon tu kia zad-erah ley ker jaon gaa . agar hum sirf is baat ko sooch lein aur ghoar ker lein tu shayad apna aaj aur kal sawaar sakein .

hum apney mazahab ko bilkul bhool chukey hain aur dunya mai gumm ho ker isi k culture ko apnaye hoa hain bhool bhaiety hoa hain k jo ker rahey hain uska jawab bhi dena parey ga apne pyaarey nabi k ehsaano ko bhool bhaitey hain jin ki waja sey aaj tak hum per koi aazaab nahi aya werna jaisey aamaal hum ker rahey hain unki badolat to kitney hi aazaab achukey hotey agar humay allah k mehboob ki ummat honey ka maan na hota .

bus ALLAH sey yehi dua hai k wo hamare zindagiyun mai phir sey SunnaTain abbad ker dain aur Quran k ehkamaat k mutabiq hamari zindagi dhaal dain




Ameen

AFghani_Laila
11-01-2009, 10:37 AM
hmm bahut hi acha shukrriya bahut hamhre sata share karne k humhe batane ka ap ne bilkul sahi kaha lekin ager jese app koi do teen aur esi post karen is mozo par batain karen tu INSHALLAH sab smaj jayenagy aur joyahan samj jayega wo apne dost main ye baat kahga zaroor INSHALLAH jo amal kare aur wo dost apne ghar main isi tarah kitno ko pata chal jayigi haina is liye bahut acha kaha pp ne aur mujhe itna tu pata hain k KISI KO bura nahi lagega INSHALLAH kyon k bahut se logo ko pata nahi hota tua pp ne baata diya bahut acha kaha eak baar phir bahut bahut shukrriya :) AUR DUA JO HAIN AKHIR MAIN ALLAH UM AMEEN

app hamesha khush raho :)INSHALLAH sab amal karenagy bas hamhe koshish karni cahhye :) ALLAH HAFIZ

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
11-01-2009, 10:52 AM
thanks sis for the reply...

AFghani_Laila
11-01-2009, 11:00 AM
my pleasure sis :)

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
11-01-2009, 11:01 AM
app nay bht acha reply kiya hay....

AFghani_Laila
11-01-2009, 11:02 AM
aww thnkss

!«╬Ĵamil Malik╬«!
06-08-2010, 03:55 PM
Jazak allah

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
06-11-2010, 05:10 AM
thanks ....

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.