Hussain
10-21-2008, 03:25 PM
kashtiye e jaan ko gham mein dubone mein
kiya hai lutf dost tanha rone mein
baandh rakha hai ek sunehri lamha
meine apne dupatte ke kone mein
hoti hai yun bhi aziyat ki nigehdari
yaad teri sirhane rakh ke sone mein
sham ki dehleez pe beith ke teri yaaden
lutf aata hai ashkon mein pirone mein
rafaqton ki aad mein hain maile rishte
to phir kiya rakha paane mein khone mein
dil ki zameen jo num hai to ''shehzadi'' suno
kiya harj hai iss mein dard bone mein
kiya hai lutf dost tanha rone mein
baandh rakha hai ek sunehri lamha
meine apne dupatte ke kone mein
hoti hai yun bhi aziyat ki nigehdari
yaad teri sirhane rakh ke sone mein
sham ki dehleez pe beith ke teri yaaden
lutf aata hai ashkon mein pirone mein
rafaqton ki aad mein hain maile rishte
to phir kiya rakha paane mein khone mein
dil ki zameen jo num hai to ''shehzadi'' suno
kiya harj hai iss mein dard bone mein