PDA

View Full Version : Min or meri tanhi


Úƒƒƒ
10-29-2009, 04:56 PM
mere hamsafar
Mere Humsafer, mere Hum-nasheen
Main ne Rab se manga to kuch nahi
Per jub bhi mangi koi dua!
Nahi manga kuch bhi “Tere Siwa”
Ye talab kya k mera Khuda!
Naye ehad ki
Sabhi rahtain, Sabhi chahtain,
Wo ata kre tujhe manzlain,
Ye talab kya k mera Khuda!
Tujhe Bakht de,
Tujhe Taj de
Tujhe Takht de,
Mere Humsafer,
Mere Chara-ger,
Ye hai mohabbat ka khatan safer
Mere sath chalna zra soch ker
Mere pass zarr na koi hunar
Phir bhee dekh to mera hosla
Mere paas jo kuch, Sabhi tera
Nahi aur kuch bhi tere siwa
Meri Dosti
Meri Zindgi
Meri Khamoshi
Meri Be-basi,
Meri Subha Bhi
Meri Sham bhi
Mera Ilm bhi
Mera Naam bhi,
K jo mil saken mere Daam bhi,
Wo sabhi kuch tujh ko ata kre;
Mere chara gr tu yaqin to kr
Mujhe mangna to na aa ska
Main ne phir bhi mangi yehi Dua
K gwahi de ga mera Khuda
Maine jub b us se talab kya!
Nahi manga kuch bhi “Tere Siwa


Ek bhegi hui si raaat mile
Ek bhegi hui si raat mile
us raat me tera hath mile
tere lab se tapken jo bonden
unhe mere labon ka sath mile
kuch tum bi behke behke se
kuch mujh pe nasha sa tari ho
har pal me chaye madhoshi
Ek aisi raat hamari ho
phir tum aao meri bahon me
main pyar karon tumhe ji bhar ke
tum mujhse thora sharma jao
sharma k galay se lag jao
main jitna tumko pyar karon
tum itne hi betab ho jao
hamein pyar k kuch lamhat milen
Ek bhegi hui si raat mile….!
Zakhm_e_Tanhai Mein Khushbo_e_HinA Kis Ki Thi
Saaya Deevar Per Mera Tha, Sada Kis Ki Thi
Os ki Raftaar Say Lipti Raheen Ankhein Meri
Os Ne Murr Kar Bhi Na Dekha k Wafa Kis Ki Thi
Ansuon Say He Bhar Gaya Daaman Mera
Haath To Main Ne Uthaaya Tha, Dua Kis Ki Thi
Meri Aahon Ki Zaban Koi Samjhta Kaisay?
Zindagi Etni Dukhi Meray Siva Kis Ki Thi
Aag Say Dosti Os Ki Thi, JaLa Ghar Mera
Dee Gai Kiss Ko Saza, Aur Khata Kis Ki
Shaam e Gham Ki Qasam
Shaam e Gham Ki Qasam
Aaj GhamgEen Hain Hum
Aa Bhe Jaa Aa Bhe ja Aaj Meray Sanam
Dil PreShan Hai Raat Veeraan Hai
Dekh Ja Kis Trah Aaj tAnhA Hain Hum
Shaam e Gham Kii Qasam
Khail Kaisa Jo PehlOo Mein tOo Hi Nahien
Maar Dalay Na dArd e jUdaii Kahien
Rut HaSEen Hai To Ko Kya Chandni Hai To Kya
Chandhi Zulam Hai Or jUdaii Sitam
Shaam e Gham Ki Qasam
Ab To Aaja K Ab Raat Bhe So Gaii
Zindgi Gham K Sehraon Mein Kho Gaii
DhOondhatii Hai Nazar tOo Khaan Hai Magar
Dekhtay Dekhtay Aaya AankhOn Mein Nam
Shaam e Gham Ki Qasam





Muhbat hum say karni hai
Muhbat hum say karni ho to phir wada nahi karna,
ye waday hum nay Dekhay hain k aksar tot jatay hain
Muhbat hum say karni hai to phir zid bhi nahi karna,
ye zid bhi hum Nay dekhi hai k sathi chhot jatay hain
Muhbat hum say karni hai to phir tohfa nahi daina,
ye tohfay hum nay Dekhay hain buht majbor kartay hain
Muhbat hum say karni hai to phir shikwa nahi karna,
ye shikway hum nay Dekhe hain dilon ko dor karte hain
Muhbat hum say karni hai to phir roya na karna,
ye aanson hum nay Dekhay hain dilon ko cheer detay hain
MUJHE TUM SE BATIEN KRNI HAI
Kabhi aajao tum pal bhar ko,
Mujhe tum se batien krni hain,
Kuch ghum k geet sunanay hain,
Kuch raaz hain jo batlanay hain,
Kuch dil ko b batlana hai,
Kuch zakhm hain jo dikhlanay hain,
Kuch dil se yaadain dhoni hain,
Kuch naatay nai bnanay hain,
Jo sher likhay hain teri furqat mein,
Kuch sher tumhe wo sunanay hain,
Kuch dard sunanay hain dil k,
Kuch piyar ki batien krni hain,
Kabhi aajao tum pal bhar ko,
Kaash…….
mein kuch b nahin hoon tere liye
kuch tere liye mein ho jaon
tere dil men rahoon ankhon mein basoon
dharkan men shamil ho jaon
to jab koi baat kare
mera naam b us meia shamil ho
to jab b mange kuch rab se
meri zaat b us men shamil ho
har bar nahin ik baar sahi
ik bar to aisa ho jae
ik pal k liya ae jan-e-wafa
tujhe mujh se mohabbat ho jae
AY KAASH K AISA HO JAE
AY KAASH K AISA HO JAE


Neend Nahi aati
Rahte hain unke khayalon me,
ab neend mujhe aati nahi,
hanste hai ab jab bhi hum,
bas yaad unhi ki aati hai,
wo uski meethi muskan,
humara dil dhadkati hai,
jagte sote har pal hi,
unki yaad hume tadpati hai,
bas ek jhalak unki paakar,
hum khush ho jaaya karte hain,
jab bhi wo aate hain saamne,
hum chup ho jaya karte hain,
Bolta hai per dil mera,
kuch bol sake to tu kah de,
per sochta hoon main,
is baat se, mera dil use na kho baithe,
wo dost nahi mera sab kuch hai,
ye kaun use batlaye,
kaas waqt ke saath hi,
wo apne aap samajh paaye,
Ay …MAHNOOR ab teri yaad me,
kisi kaam me ruchi nahi,
dil me tum, dhadkan me tum,
aur baat kisi ki bachi nahi,
rahte hain tumhare khayalo me,
an neend mujhe aati nahi…..
jis ki chahat ko
jis ki chahat ko her chaht say mootaber rakha,
Khud tha ghamgeen mager us ko baykhaber rakha,
aaj wahi shakhs mayray g ko jalata hay bohat,
roh ko ghayal ankhoon ko rulata hay bohat,
kon c main nay thee us say khudaii mangi,
jub bhi mangi tu fakt us say mohabt mangi,
mayri chaht ka badla mujh ko istarah say mila,
hansta jo dil tha mayra mujh ko hay ujra sa mila.


http://img26.imageshack.us/img26/4210/vapms.jpg

Na Jane Woh Mujhse
Na Jane Woh Mujhse Kya Chahta Hai
Meri Maut Ya Meri Zindagi Chahta Hai
Baatein Toh Choorhne Ki Karta Hai
Saath Khush Hone Ki Dua Karta Hai
Na Jane Woh Mujhse Kya Chahta Hai
Mere Aansoo Ya Meri Hansi Chahta Hai
Woh Shayed Mujhe Khabi Nahin Samajh Sakta
Ish Liye Har Waqt Mujhse Door Hona Chahta Hai
Keh Do Ush Se Dhuniya Waloon
Woh Meri Zindagi Nahin Maut Chahta Hai
Keh Do Ush Se Jahan Waloon
Woh Meri Khushi Nahin Aansoo Chahta Hai


Wo Fasana Yaad Aata Hai
Jo keh na sake wo fasana yaad aata hai
Guzra hua dilkash zamana yaad aata hai
Jab husn se ishq takraya tha kabhi
Ghayal hua tha ek parwana yaad aata hai
Dil se mohabbat ke tufaan uthe the
Jab aankhon ka sapne sajana yaad aata hai
Kasturi jaise din mehakte the
Mere raaton ka gungunana yaad aata hai
Aankhon ka mil kar jhuk jana nahin bhula
Hothon ka thar_tharana yaad aata hai
Mera usko kankhiyon se dekhna
Baar baar aur uska wo muskurana yaad aata hai
Raaton ko tanha yaad mein kisiki...
Dhuan udata ek deewana yaad aata hai


http://img214.imageshack.us/img214/2461/bloodtears.jpg







Wo tera ruthna mujh se
Wo tera ruthna mujh se,
Mera tujh ko mana lena,
Muhabbat ki nishani hai,
Gale mujhko laga lena,
Muhabbat jis sy hoti hai,
Usi pe maan hota hai,
abhi mein ruth jau to mujhy tum mana lena,
Anna sy dur hi rehna k,
Ye sab kuch mita degi,
Muhabbat ke samander mein kbhi tofan b uthta hai,
Is tofan mein janam mujhy kashti bana lena,
Ager dubenge hum dono tou aik sath hi debenge,
Mera tumsy ye wada hai Mager tum bhi nibha leyna.


Toot jatay hain
Toot jatay hain sabhi rishtay
magar dil ka dil say rishta apni jaga
tujh se na milnay ka yaqeen hai magar
tujh se milnay ke dua apni jaga........ .......
Hume Hansne - Hasane ki aadat hai,
Nazron se Nazar Milane ki aadat hai,
Par hamari to nazar unse hai ja mili,
Jinhe nazar Jhukake Sharmane ki Aadat hai


Dard beshumar mujko
Dard beshumar mujko ye zamane se mile
log kyun kehte hain pyar nibhane se mile
teri jafa se to haasil hua hai zaqm mujhe
kya kya tohfe tujhe dil ko dukhane se mile
ye zuroori to nahi ke eid hi ka mauqa ho
wo gale mujh se kisi aur bahane se mile
dil me chupa kar ghamon ka ek samandar
mile jab bhi to muskura ke zamane se mile
log kehne lage hain tujh ko shagufta ` `haseeb ` `
ye alqaab tujhe gham ko chupaane se mile


http://img214.imageshack.us/img214/4597/hatepng.png




Nahi Jati
Ek Roz Tum Ne Thama Tha Hath Mera
Mere Hath Se Tumhare Hath Ki Khushbu Nahi Jati
Tum Buhat Pyar Se Pukarte The Naam Mera
Mere Kaano Se Tumhari Wo Awaz Nahi Jati
Mein Bulata Bhi Nahi Tha Or Tum A Jate The
Ab Bulane Pr Bhi Meri Awaz Tum Tk Nahi Jati
Bas Chuke Ho Tum Meri Nas Nas Mein Lahu Ki Tarha
Meri Ulfat Tumhari Rooh Mein Utar Kyun Nhi Jati
Mein Janta Hoon Ye Sheher Ye Rastey Tumhare Nahi
Phir Bhi Mere Dil Se Intezar Ki Adat Nahi Jati
mehroomi hi aksar mere
zindagi har chand yahi paighaam laati hai
mehroomi hi aksar mere hisse me aati hai

umr bhar jisko bachaya zamane ki hawaaon se
wo shamma hi dekho ab mera ghar jalaati hai

amaarat ne meri duniya ka nazriya badal daala
jo pehle ruth baithi thi wahi duniya manaati hai

ye chidya kitni be parvah hai shajar ke katne se
do din ke liye sahi par apna ghar banaati hai

zamaane me zardaar hi to qismat ke maare hain
log kyun kehte hain ke daulat muqaddar banati hai

kisike dard me hasne ki aadat achi nahi ` `haseeb ` `
yahi sifat hai jo insaan ko patthar banaati hai


http://img301.imageshack.us/img301/1478/holdmeforever.jpg

Ghuncha
10-29-2009, 05:14 PM
Nice ...

SHAYAN
07-06-2010, 04:00 AM
NiCe....

!«╬Ĵamil Malik╬«!
07-07-2010, 12:35 PM
Nice Thnx For Sharing

(‘“*JiĢäR*”’)
07-07-2010, 01:24 PM
very nice

~~KING~~
07-07-2010, 02:09 PM
very nice.....................:bu:

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.