(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
10-28-2009, 10:14 AM
Quran main parday ka hukum
Allah says, (ae nabi sallallaho alehe wasallam) musalman mardon se keh day (orton k samnay aaen to) apni nigahen nichi rakhen, or apni satar ki nigehdasht se ghafil na hon, ye un k liye ziada paak nafsi ka tariqa hoga, wo jo kuch bhi kertay hain Allah k ilm se poshida nahi, or isi tarha musalman orton se bhi kehday, (mardon k saamnay aaen to) nigahen nichi rakhen, or apnay satar ki nigehdasht se ghafil na hon, apna banao chunao logon ko na dikhaen, magar haan isi qadar (k lazmi tor per) dekhnay main ata hay,apnay seeno pe orhni ka palla dalay rahen, apna banao chunao sirf apnay shohar hi k samnay khula rakhen, ya phir baap, susar, beta, shohar ka beta, bhai, bhatija , bhanja, orten, ya londi ghulam hon , ya ghar k aisay khadim jinhen, (orton ki) koi talab nahi, (yani borhay khidmat gaar) ya kamsin larkay hon jo abi orton ki parday ki baton se agah nhi houay, nez (raah chaltay houay) apnay paaon istarha na maren k zinat ki chizen jo andar pehni hoi hain, unse log bakhabar hojaen. (yani pazeb ki jhankar na uthay), or musalmano tum sub Allah k huzoor toba karo k kamiab ho. ( soora noor, ayat 30-31)