MAsooM LArKa
10-27-2009, 04:26 PM
jab mohabat tumhe bhi azamaye gi to kia karo ge?
mile gi na koi rah-e-farar to kia karo ge?
abhi to ho mehfilo ke shor mai ghum
jab tanhaiyan tumhe bhi sataye gi to kia karo ge?
dil pe na chal sake jab koi tumhara apna zor
kese behlao ge khud ko kese dil ki suna karo ge?
abhi to dekhee nahi tumne wo tareekh sard raten
jab bahaar ki shamen dhal jayen gi to kia karo ge?
mai to hoo hi shikasta haal pehley se hi
tum agar sanwarne ke bad ujhre to kia karo ge?
abhi to koi asar nahi karti aah bhi tum pe
agar tumhe bhi kabhi ansoo bahane pare to kia karo ge?
bataya nahi tha ke tumne Mohabat ka anjam yeh hoga
abhi jin lehro pe ho unka kinara tumhe bhi na mila to kia karo ge?
jitni bhi door jane ki justaju mai lage ho aaj tum
kal ko manzil se pehley raste mai hi bhatak gaye to kia karo ge?
suna hai rehta hai tumhare pas buhat hajum aaj kal...
gar kabhi hajum se wehshat hone lagi to kia karo ge?
dil-e-nadan to samjhta hi nahi ke tu ja chuka hai
gar kabhi tumhe bhi dil ko yaqeen dilana para to kia karo ge?
teri wo guzri howe yadein wo baten to hain mere pas
kabhi agar tumhe muje yad karna para to kese yad karo ge?
tumhe ho tumhari naee manzil ka safar mubarak
manzil pe pohanch ke bhi agar manzil na mili to kia karo ge?
hume jate jate yeh to batla ke jatey
ke agar kabhi amna samna howa to kia kalam karo ge?
kabhi jo agar tumne dua ke liye hath uthaye
mere sath mangi howi sari duae yad aae to kia karo ge?
abhi to zamane ke kehkho mai ghum ho
kabhi meri halki sargoshi bhi pas se guzri to kia karo ge?
mat murh ke dekhna ab tum jane ke bad
agar maine hisab mang lia guzre dino ka to kia karo ge?
mujse to ho gureza aur mere puchne walo se bhi
agar kabhi apne zameer ne sawal kia to kia karo ge?