MAsooM LArKa
10-24-2009, 08:03 AM
ret par likh ke meraa naam miTaayaa na karo
aankhen sach bolatii hain pyaar chupaayaa na karo
log har baat kaa afsaana banaa letey hain
sab ko haalaat kii rudaad sunaayaa na karo
ye zaruurii nahii har shaKhs masiihaa hii ho
pyaar ke zaKhm amaanat hain dikhaayaa na karo
shahar-e-ehsaas mein patthar bahut hain 'Mohsin'
dil ko shiishe ke jharonkon mein sajaayaa na karo