MAsooM LArKa
10-24-2009, 07:59 AM
Kal Raat Bazam Main jo Mila Gulbadan Sa Tha
Khushboo Se Us ke Lafaz Thay Chehra Chaman Sa Tha
Dekha Usay To Bol Paray Us Ke Khad-o-Khaal
Poocha Usay To Chup sa raha, Kam Sukhan Sa tha
Tanhaiyon Ki Rutt Main Bhi Lagta Tha Mutmayeen
Woh Shakhs Apni Zaat Main Ik Anjuman Sa Tha
Socha Usay To Main Kayi Rangon main Kho Gaya
Aalam Tamaam Us Ke Haseen Pairhan Sa Tha
Jo Shaakh Shaakh Thi woh Usi Ke Labon Si Thi
Jo Phool Khil Gaya Tha Woh Usi Kay Dehan Sa Tha
Woh Saadgi Pehan Ke Bhi Dil Main Utar Gaya
Us Ki Har Ik Ada Main Ajab Bhoolapan Sa Tha
Asaan Samajh Rahe Thay Usay Shehar-e-Jaan Ke Log
Mushkil Tha Is Qadar Ke Mere Apne Fun Sa Tha
Woh Guftugoo Thi Us Ki, Usi Ke Liye Hi Thi
Kehne Ko Yun Tu Main Bhi Shareek-e-Sukhan sa Tha
Taaray Thay Chandni main Keh Tuhmat Ke Daagh Thay
Mohsin Kal Asmaan Bhi Mere Kafan Sa Th