MAsooM LArKa
10-23-2009, 11:42 AM
cha rahi kali ghata jiya mora lahraye hai
sun ri koyal baanwari too kyun malhar gaye hai
ai papiha aa idhar mai bhi sarapa dard hoon
am par kyun jam raha hai mai bhi to aisi zard hoon
farq itna hai ki us main ras hai mujh main hay hai
sare azaron se barhke ishq ka azar hai
afton main jan-o-dil ka Dalna bekar hai
bewafa se dil lagakar kya koi phal paye hai
ai papiha chup Khuda ke waste tuu ho zara
rat adhi ho chuki hai ab tujhe kya hogaya
teri pi-pi se papiha pi mujhe yad aye hai
mudaton Dhoondha piya ko mai ne kar jogan ka bhes
na to mai ne un ko paya ur na paya un ka des
log kahte hain ki Dhoondhe se Khuda mil jaye hai