* `` ^ MaHnOoR ^`` *
10-19-2009, 07:26 PM
Humari zaat se bichhrra hua nahin milta
Woh aik baar jo tanha hua nahin milta
Samundaron mein jo dubai'n woh mil hi jatay hain
Tumhari aankhon mein dooba hua nahin milta
Humaray sath musalsal safar mein rehta hai
Hawa ka qaafila thehra hua nahin milta
Kabhi woh din thay k rehta tha sath sath woh shakhs
Aur ab yeh waqt k arsa hua nahi'n milta
Dua ko hath uthaayein tau kis liye TARIQ?
Kabhi bhi hum ko tau maanga hua nahin milta