(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
10-16-2009, 09:34 PM
Baithe hain rehguzar par
dil ka diya jalaye.
Shayad vo dard jane,
shayad vo laut aaye.
Aakash par sitare chal chal ke tham gae hain.
Shabnam ke sard aansu phoolon pe jam gae hain.
Ham par nahi kisi par,
ae kaash rehem khaye.
Shayad vo dard jaane,
shayad vo laut aaye.
Raahon mein kho gai hain
hasrat bhari nigaahein.
Kab se lachak rahi hain
armaan ki narm baahein.
Har mod par tamanna
aahat usi ki paye.
Shayad vo dard jaane,
shayad vo laut aaye.
Baithe hain rehguzar par
di ka diya jalaye...
dil ka diya jalaye.
Shayad vo dard jane,
shayad vo laut aaye.
Aakash par sitare chal chal ke tham gae hain.
Shabnam ke sard aansu phoolon pe jam gae hain.
Ham par nahi kisi par,
ae kaash rehem khaye.
Shayad vo dard jaane,
shayad vo laut aaye.
Raahon mein kho gai hain
hasrat bhari nigaahein.
Kab se lachak rahi hain
armaan ki narm baahein.
Har mod par tamanna
aahat usi ki paye.
Shayad vo dard jaane,
shayad vo laut aaye.
Baithe hain rehguzar par
di ka diya jalaye...