ShArArTi MuNdA
10-16-2009, 06:59 AM
jab kisi say marasim bharnay lagtay hain.
teri qurbat k din yaad karnay lagtay hain.
barishon kay mosam main har dard muskurata hai.
bondoon ki lari main yeh nikharnay lagtay hain.
yaad aa jati hain mazi ki kuch ruswayan humain.
teri gali say jab bhi hum guzarnay lagtay hain.
us dard ko mehsoos koi nahi kar sakta hai.
mohabbat main jab loog bikharnay lagtay hain.
mat dekho mehfil main gor say mujhay tum.
meray dil k jazbat ubharnay lagtay hain.
dil main koi dard sa chaya jata hai us dam.
meri har baat pay jab woh hasnay lagtay hain.
tum kuch aor bhi kareeb lagtay ho mujhay.
meray angan main jab phool meheknay lagtay hain.
kisi ko lamhoon main diil bhola deta hai.
kisi ko bholanay main zamanay lagtay hain
mohabat ka anjaam hai dastaan hona.
loog wafa kay kissay sunanay lagtay hain.