!~*SOoLi
10-14-2009, 12:08 PM
safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo
sabhie hain bheerr mein tum bhi nikal sako to chalo
idhar udhar kayi manzil hain chal sako to chalo
bane banaaye hain saanchey jo dhal sako to chalo
kisi k vaastey raahen kahan badalti hain
tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo
yahan kisi ko koi raasta nahin deta
mujhe gira k agar tum sambhal sako to chalo
yahi hai zindagi kuch khuwaab chund ummeeden
inhi khilaunon se tum bhi behel sako to chalo
her ik safar ko hai mehfooz raaston ki talaash
hifaazaton ki rivaayat badal sako to chalo
kahin nahin koi suraj, dhuaan dhuaan hai fizaa
khud apne aap se baahir nikal sako to chalo
:1: