chinamanx
10-11-2009, 02:30 PM
Tum gaye dino mein jo saath thay, meri qalb-o-jaan ka saboot thay
ye bila wajah tera roothna, meri zindagi ko mitaa na de
tere saamnay meray hum nafas, meri dharkano ki basaat kia
tera is tarah mujhe dekhna, kaheen meri umar ghataa na de
tujhe ilm hay ae tabeeb e jaan, Tera pyaar hi meri hayaat hay
main mareez hoon teray qurb ka, mujhe door jaa ke dawaa na de
yahaan sub andhair parast hain, yahaan roshni ki majaal kia
yeh charaagh phir bhi charaagh hay, koi aatay jaatay bujha na de....