(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
10-11-2009, 04:54 AM
UjRe khwaabon ki ye kahaani hai
Tum ko fursat ma jo sunaani hai
Ham ne hasti hii waar di un par
Saans to phir bhi aani jaani hai
Jeet par itna hii maghroor na ho
Ham ne to khud hii haar maani hai
Jaane waalon ko kab talak royein
Yaan to duniya hii saari faani hai
Mujh se mere dukhon ko mat cheeno
Zindagi ki yahi nishaani hai
Yaad kar ke unhein bhar aaii aankh
Rooh pe chaadar ghamon ki taani hai
Saare armaan ho gaye mitti
Ab to aankhon ka khush'k paani hai
Tum ko fursat ma jo sunaani hai
Ham ne hasti hii waar di un par
Saans to phir bhi aani jaani hai
Jeet par itna hii maghroor na ho
Ham ne to khud hii haar maani hai
Jaane waalon ko kab talak royein
Yaan to duniya hii saari faani hai
Mujh se mere dukhon ko mat cheeno
Zindagi ki yahi nishaani hai
Yaad kar ke unhein bhar aaii aankh
Rooh pe chaadar ghamon ki taani hai
Saare armaan ho gaye mitti
Ab to aankhon ka khush'k paani hai