Log in

View Full Version : na masoom baateiN , na aazaad khayaal, kya hua?


(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
10-08-2009, 08:04 PM
na masoom baateiN , na aazaad khayaal, kya hua?
na teri koi khabar hai, na-jaane mera haal kya hua?

goonjti hai teri aawaaz dil ki viraan galiyon maiN
gum-sum yeh nazar puchti hai ek sawaal, kya hua?

milte the har shaam hum lab-e-dariyaa, aur ab ke
na tu hai, na baarish, yeh sookha, yeh saal kya hua?

waqt ki shaakh se toote woh lamhe yaad karta hun
woh shab-e-wisaal, woh nazaara-e-jamaal kya hua?

zindagi bad-rang hai, bad zauq aur bad-khwaab hai
yeh aalam hai ki ab tu aa bhi jaye to kamaal kya hua?

suna tha apna ahad-e-maazii dafnaa chuke
arse baad yun jurm-e-muhabbat ka ubaal, kya hua?

Ghuncha
10-08-2009, 09:06 PM
Nice ...!!

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
10-08-2009, 11:13 PM
thanksss

SHAYAN
07-18-2010, 04:35 PM
Nice...

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
07-19-2010, 10:41 AM
thanks..........

LAMS
07-20-2010, 02:21 AM
nice
thx for shairing

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
07-20-2010, 07:45 AM
thanks

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.