Log in

View Full Version : kuch muhtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai


Hussain
10-18-2008, 02:43 PM
kuch muhtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai
ham bada-kashon k hise ko ab jam main kam kam ati hai

yun arz-o-talab se kab ai dil patthar-dil pani hote hain
tum lakh raza k khu dalo kab khu-e-sitamgar jati hai

bedad-garon ki basti hai yan dad kahan fariyad kahan
sar phorti phirti hai nadan fariyad jo dar dar jati hai

han ji k zayan k ham ko bhi tashwish hai lekin kya kjiye
har rah jo udhar ko jati hai maqtal se guzar kar jati hai

ab kucha-e-dilbar ka rah-rau rahzan bhi bane to bat bane
pahre se udu talte hi nahin aur rat barabar jati hai

ham ahal-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-subah-e-watan
yadon se muattar ati hai ashkon se munawwar jati hai...

Ghuncha
10-18-2008, 05:22 PM
Nyc

umair8005
10-18-2008, 07:43 PM
nyc....

Hussain
10-19-2008, 01:46 PM
thanx ghunchaaa

Hussain
10-19-2008, 01:46 PM
nyc....

thanxx

SAjan
10-07-2011, 10:44 PM
niceeee sharing

M A H i
10-11-2011, 02:12 PM
Bhout khoob

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.