SaHaR
08-12-2008, 01:50 PM
Aasmaan ki Oonchaee
Sagar ki yeh gehraee
Tere man mein hai samaayee
Maai..... o.... Maai
Jee chaahe yun tere saath rahoon
Main ban ke tera hamjoli
Tere haath na aaoon, chup jaaoon
Yun kheloon aankh micholi
Pariyon ki kahaani sunaake
Koi meethi lori gaake
Karde sapne sukh-dai
Maai..... o.... Maai
Sansaar ke taane baane se
Ghabraata hai man mera
In jhoote rishte naaton mein
Bus pyar hai saccha tera
Sab dukh sukh mein dhal jaayen
Teri baahen jo mil jaayen
Mil jaaye mujhe khudai
Maai..... o.... Maai
Jaaron ki thandi raaton mein
Jab der se main ghar aaoon
Halki si dastak par apni
Tujhe jaagta hua main paaoon
Sardi se thithurti jaaye
Thanda bistar apnaaye
Mujhe deke garm razaai
Maaii..... o.... Maaii
Tera man amrit ka pyaala
Yehi kaaba, yehi shivala
Teri Mamta jeevandaai
Maai..... o.... Maai
Sagar ki yeh gehraee
Tere man mein hai samaayee
Maai..... o.... Maai
Jee chaahe yun tere saath rahoon
Main ban ke tera hamjoli
Tere haath na aaoon, chup jaaoon
Yun kheloon aankh micholi
Pariyon ki kahaani sunaake
Koi meethi lori gaake
Karde sapne sukh-dai
Maai..... o.... Maai
Sansaar ke taane baane se
Ghabraata hai man mera
In jhoote rishte naaton mein
Bus pyar hai saccha tera
Sab dukh sukh mein dhal jaayen
Teri baahen jo mil jaayen
Mil jaaye mujhe khudai
Maai..... o.... Maai
Jaaron ki thandi raaton mein
Jab der se main ghar aaoon
Halki si dastak par apni
Tujhe jaagta hua main paaoon
Sardi se thithurti jaaye
Thanda bistar apnaaye
Mujhe deke garm razaai
Maaii..... o.... Maaii
Tera man amrit ka pyaala
Yehi kaaba, yehi shivala
Teri Mamta jeevandaai
Maai..... o.... Maai