SaHaR
08-12-2008, 01:49 PM
Wo ajnabi shakhs meri aankhoun se dil mein uterta rehta hai
Wo meri rahoun mein Akser khada rehta hai
Wo chahta hai mujhe had se bhi zyada
Yeah ehsaas mere dil mein jagata rehta hai
Wo rehta hai zindagi mein meri ujala banker
Mujhe har din seedhi raah dikhata rehta hai
Mai kaise khafa hosakti hoon us se
Jo meri batoun pe phool barsaata rehta hai
Main rooth jaoun ager usse kabhi
Wo lamha lamha manata rehta hai
Jab girte hain meri aankhoun se aansu moti banker
Wo apni hatheliyoun mein sajata rehta hai
Main kaise thukradoun use aye naaz
Jo meri zindagi mein saaye ki tarha rehta hai