ShArArTi MuNdA
09-19-2009, 10:27 PM
Baba tum kyun door huwe,
kyun milne se majbor huwe
milne humko kyun nahin aatay
ham sang kyun nahin khailtay khatay,
gudgudi kar k kyun nahin uthatay,
sinay pe apne kyun nahin sulatay.
Baba tum kyun door huwe,
kyun milne se majbor huwe
baba mera hath pakad lo,
bahon main mujhe jakad lo,
bheed main logon ki kho gaya hon,
rah tumhari taktay taktay mama k sang so gaya hon.
Baba tum kyun door huwe,
kyun milne se majbor huwe
Beta tumse dori kyun hai,
kya hai aur majbori kyun hai,
kaisay main tumko samjhaon,
ji karta hai urd kar aajaon,
mera bhi sina jalta hai,
dekhne tumko ji karta hai
Beta tum kyun door huwe,
kyun milne se majbor huwe
kyun milne se majbor huwe
milne humko kyun nahin aatay
ham sang kyun nahin khailtay khatay,
gudgudi kar k kyun nahin uthatay,
sinay pe apne kyun nahin sulatay.
Baba tum kyun door huwe,
kyun milne se majbor huwe
baba mera hath pakad lo,
bahon main mujhe jakad lo,
bheed main logon ki kho gaya hon,
rah tumhari taktay taktay mama k sang so gaya hon.
Baba tum kyun door huwe,
kyun milne se majbor huwe
Beta tumse dori kyun hai,
kya hai aur majbori kyun hai,
kaisay main tumko samjhaon,
ji karta hai urd kar aajaon,
mera bhi sina jalta hai,
dekhne tumko ji karta hai
Beta tum kyun door huwe,
kyun milne se majbor huwe