Log in

View Full Version : Abaabeel ne Abraha ka lashkar nahin rakha.


FAJAAN
09-15-2009, 06:29 AM
Ghamzada dil to kya aankhon ko tar nahin rakha,
Fareb hum ne saheY shikwa zabaan par nahin rakha.

Koi tegh kheenche aur main khaufzada ho jaaoon,
Khuda ke siwa dil main kisi ka dar nahin rakha.

Kizb ki hawayein na cheen lein shama-e-haq,
Khula is khauf se dil ka dar nahin rakha.

Toot kar bikhar gaye jaise ho.n mala ke moti,
Aitmaad rishton main kisi ne gar nahin rakha.

Dushman nahin dushmani ko qatl karne nikla hoon,
Khoon bahane ko haath main khanjar nahin rakha.

Apna to khuda ek hai malik bhi wo hi hai,
Uske siwa kisi dar pe kabhi sar nahin rakha.

Rah main pade faqeer ko haqarat se na dekh,
Khuda ne sada ek saa muqaddar nahin rakha.

Bade banne ka shauq hai to kirdar se ban,
Aandhiyon ne kabhi bada shajar nahin rakha.

Maghroor na ho apni zahiri quwwat pe zalim,
Abaabeel ne Abraha ka lashkar nahin rakha.

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
09-15-2009, 12:04 PM
beautiful

Ghuncha
09-15-2009, 08:57 PM
Nice !!

safa
09-15-2009, 09:16 PM
good......................................

FAJAAN
09-16-2009, 03:59 AM
beautiful

thx khushbuuuuuu

FAJAAN
09-16-2009, 03:59 AM
Nice !!

thx kancha

FAJAAN
09-16-2009, 04:00 AM
good......................................

thx safa

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.