PDA

View Full Version : ye meri gazlen ye meri nazmain


MAsooM LArKa
09-13-2009, 10:02 PM
ye meri gazlen ye meri nazmain
tamam teri hikayaten hain

ye tazkary teri lutf k hain
ye sher teri shikayaten hain


main sab teri nazr kar raha hun
ye un zamanon ki s'aten hain

jo zindagi k naye safar main
tujhe kisi waqt yad ayen


to ek ek harf ji uthega
pahan k anfaas ki qabaayen

udas tanahaiyon k lamhon main
nach uthengi ye apasarayen


mujhe tery dard k alava bhi
aur dukh the, ye janta hun

hazar gam the jo zindagi ki
talash main the, ye janta hun


mujhe khabar ti k tery anchal main
dard ki reait chaanta hun

magar har ek bar tujh ko chu kr
ye rait rang-e-hina bani hai


ye zakhm gulzar ban gaye hain
ye ahen-sozan ghata bani hai

ye dard mauj-e-saba hua hai
ye ag dil ki sada bani hai


aur ab ye sari mata-e-hasti
ye phul ye zakhm sab tere hain

ye dukh k nauhe ye sukh k nagmain
jo kal mere the vo ab tere hain


jo teri qurbat teri judai
main kat gaye roz-o-shab tere hain

vo tera shayar tera mug'ni
vo jis ki baten ajib si thi


vo jis k andaz khusro-vana the
aur adayen garib si thin

vo jis k jine ki khvahishen bhi
khud us k apne nasib si thin


na puch us ka ki vo divana
bahut dinon ka ujar chuka hai

vo kohakan to nahin tha lekin
kari chattanon se lar chuka hai

vo thak chuka hai aur us ka tesha
usi k seenayn main gar chuka hai..........!!!

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
09-13-2009, 10:04 PM
beautiful...

MAsooM LArKa
09-13-2009, 10:10 PM
thank u sis

Ghuncha
09-14-2009, 07:49 PM
GOOOood

SHAYAN
07-17-2010, 03:18 PM
nice.....

Kash
07-17-2010, 04:38 PM
nice..next time thori choti yar..

LAMS
07-18-2010, 03:19 AM
nice
thx for shairing

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.