MAsooM LArKa
09-08-2009, 10:48 PM
Diyar-e-Gher Mein Kaisey Tujhe Sada Detey
Tu Mill Bhi Jata To Akhir Tujhey Gunva Detey
Tumhi Ne Hum Ko Sunaya Na Apna Dukh Verna
Doa Vo Kertey K Hum Aasman Hilla Detey
Humein Ye Zo'um Raha Ab K Vo Pukarein Ge
Inhein Ye Zidd Thi K Har Baar Hum Sada Detey
Vo Tera Ghum Tha K Taseer Mere Lehjey Ki
K Jiss Ko Haal Sunaatey Ussey Rula Detey
Tumhein Bhulana Hee Avall To Dustarus Mein Nahi
Jo Ikhtiyaar Bhi Hota, Tu Kiya Bhulaa Detey ?
Tumhari Yaad Ne Koi Javaab Hee Na Diya
Merey Khayaal K Aansoo Rahey Sada Detey
Samaa'aton Ko Main Ta-Umar Kosta Sayyad*
Vo Kuch Na Kehtey Mager Hontt Tu Hilla Detey