View Full Version : how can we maintain Gud Frienship ?
M A H i
08-27-2009, 11:14 PM
Asalam-o-Alikum
Friendship is easy to make & hard to keep
is it?
hum kahan ghalti ker dyty hain
Dosti kui toot jati hai ?
Dosti hamesha barqaraar rakhny k liye hamein kia kerna chaiye ?
lets debates on this :)
Hamna
08-28-2009, 02:54 AM
tfs.....................
Hamna
08-28-2009, 02:54 AM
i ll sum other time :d but i1 line keh deti hoon sori kar k hug karna chahiye
M A H i
08-31-2009, 04:59 PM
i have sumthng to share related to the topic...
Hzarat Ali R.A ny farmaya
lambi dosti k liye do cheezoun par amal karein....
1)apne dost se gussy mein baat mat karein.
2) apne dost ki ghusse mein kahi hui baat dil par mat lein.
MeOw*
08-31-2009, 08:05 PM
dosti kuch galat fehmiyon ki waja se bhi toot jati hai ...
humay apnay dost k baray main galat sochnay se pehlay bat clear karleni chaiye...
M A H i
09-01-2009, 11:48 PM
yes u right....
Meri nazer mein Friendship ko maintain rakhnay k 2 aham rules hein
1. Jab aap ghalat ho to admit karo, or apni ghalti ko sudhaarnay k liye maafi maango or khayaal rakho k wo ghalti dobaara na ho :)
2. Jab aap sahi ho or saamnay waala ghalat, to aap khamoshi ikhtiyaar karo, bilkul polite ho jaao :)
Kiun k ghussa ghussay say nahi jeet sakta :)
pensive
07-03-2011, 06:03 PM
nyc sharing
M A H i
07-03-2011, 06:49 PM
Thanks for visiting..................
Noor ul huda
07-03-2011, 07:02 PM
Mayri ajj tak kisi say dosti tooti nahi Alhumdolilah, Iss liye kuch keh nahi sakti..
shayed iss ki wajah yeh hu k may dosti may bhi aik Aitidaal rakhti hu, agar dost ki baat buri lagi, uss may kuch kami, Burayie Daikhi tu bata deti hu..............................and I think this is the Best way to keep your friendship bond strong!
2nd thing is that our Friendship should be for the sake of ALLAH only, yeh bond hamaisha qayem reh sakta hay, iss duniya may bhi aur Aakhirat may bhi.
Haan agar kabhi ghalatfehmi hu bhi jayie tu Maafi maang bhi lien aur Maaf ker bhi dien kio k iss ki Misaal sachay mootiyou ki Lari ki si hay jis ka dhaaga agar toot bhi jaye tu mootiyou ki chamak aur nazakat ko kuch ahi huta .. uss ko phir sy piroo dien!
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.