MeOw*
08-24-2009, 09:20 PM
Amal ko toolnay walay baray darvaish hotay hain
khamoshi boolnay walay baray darvaish hotay hain
yahan par jhoot palta hai,yahan sub jhoot kehtay hain
yahan sach boolnay walay baray darvaish hotay hain
zamana barf ki sil ki tarha jub sard par jaaey
tu es par khoulnay walay baray darvaish hotay hain
wo darvaishii jo koh'na umar main aaey,bhali lekin
jawani roolnay walay baray darvaish hotay hain
anaa'oun,nafratoun,k hudgarzioun k tehray pani main
muhabbat ghoolnay walay baray darvaish hotay hain