Nida-H
08-21-2009, 09:07 PM
Baray Anjaan Musaam Main
bohat be-rang lamhon main
bina aahat bina dastak
bohat masom sa "SAPNA"
utar aaya hai aankhon main
bina sochey bina samjhey
kaha hai "DIL" ne chupke sey
haan is nanhey se sapney ko
in aankhon main jaga dedo
bina rokey bina tokey
hamesha ki tarah ab bhi
bina uljhey bina boley
jhuka dala hai sar hum ne!!
magar tabeer kya hogi??
ye hum janain na dil janey
hamain maloom hai itna
"K DIL K FAISLEY AKSAR"
"HAMAIN KUM RAAS AAYE HAIN"
bohat be-rang lamhon main
bina aahat bina dastak
bohat masom sa "SAPNA"
utar aaya hai aankhon main
bina sochey bina samjhey
kaha hai "DIL" ne chupke sey
haan is nanhey se sapney ko
in aankhon main jaga dedo
bina rokey bina tokey
hamesha ki tarah ab bhi
bina uljhey bina boley
jhuka dala hai sar hum ne!!
magar tabeer kya hogi??
ye hum janain na dil janey
hamain maloom hai itna
"K DIL K FAISLEY AKSAR"
"HAMAIN KUM RAAS AAYE HAIN"