K@IN@@T
08-16-2009, 09:08 PM
Aankh khuli to phir khwaab chale gaye
Aankh khuli to phir khwaab chale gaye
jii behlane ke saare bahaane chale gaye
yaad rehta nahi kuch bhi yaad kiye bina
yaadoN me khokar jeene ke sahare chale gaye
gham bhi gaya, khushiyaN bhi gaye
ek ek karke sab yaar chale gaye
har tasawwur me dekha tere chehre ko
har shaks ko khuda banakar chale gaye
chupaya na jaye logoN se meri dil ki raghbat
teri furqat ke sholay ragoN me chupakar chale gaye
sirf dil hi tha tera sabse bada khazaana
phir kyun usey ek ajnabee pe lutakar chale gaye.