MeOw*
08-13-2009, 02:31 PM
tumhare Ghum ka mausam hai abhi tak
lab-e-tashna pe shabnam hai abhi tak
safar main abale hi abale the
magar pairoon main damKham hai abhi tak
tumhare bund dar mujh se Khafa hain
mere jine ka matam hai abhi tak
teri ab-o-hawa ras aa gai thi
bichar jane ka kuch Ghum hai abhi tak
gai rut main hoi thi fasl achi
idhar pani gira kam hai abhi tak
mai Khud ko DhoonDhta phirta hoon sab main
junooN ka ik alam hai abhi tak
lab-e-tashna pe shabnam hai abhi tak
safar main abale hi abale the
magar pairoon main damKham hai abhi tak
tumhare bund dar mujh se Khafa hain
mere jine ka matam hai abhi tak
teri ab-o-hawa ras aa gai thi
bichar jane ka kuch Ghum hai abhi tak
gai rut main hoi thi fasl achi
idhar pani gira kam hai abhi tak
mai Khud ko DhoonDhta phirta hoon sab main
junooN ka ik alam hai abhi tak