"K.G"
08-13-2009, 04:30 AM
Na kamaal-e-fun hi mila mujhe,na jamaal husn-e-khiyaal ka
Main to na tamaam jawab hon kisi doosre ke sawaal ka
Meri sa'ee se na simt saka tere mere dard ka faasla
Karen zinadagi ke supurd kya ye to silsila hai malaal ka
Mere aaino main jami rahi wo jo reg-e-dasht-e-firaq thi
Mujhe phir aseer na ker saka koi rung maazi-o-haal ka
Kahen kya kise,koi kya sune,ye hadees-e-dil ka maamla
Na fasana Laila-o-Qais ka,na qisa Heer Siyaal ka
Jise khojta hi raha sada,tere harf harf main roz-o-shab
Teri aankh main tha chupa howa wo jawaab mere sawaal ka