(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
08-12-2009, 11:11 PM
Kisi gharib ki basti jalaa di tumne,
Kisi benaam ki hasti mitaa di tumne;
Mahel na sahi, magar uska to wo aashiyaan tha,
Kisi muflis ko aukaat dikha di tumne;
Sabr na raha, magar phir bhi wo be zabaan tha,
Kisi shayar ko khamoshi sikha di tumne;
Umr to thi baki, magar zinda bhi wo kahan tha,
Kisi bujhi hui chingari ko hawa di tumne;
Dard bhari zindagi mein khushi ka wo lamHah tha,
Kisi ki haqeeqat ko kahani bana di tumne;
Rahi jo unkahi, wo zindagi ka ek armaan tha,
Kisi zaakir ko bad naseebi suna di tumne;
Kisi gharib ki basti jalaa di tumne,
Kisi benaam ki hasti mitaa di tumne.