SHAYAN
08-08-2009, 07:30 PM
Tuhmatain to lagti hain
Roshni ki khawahish main
Ghar se bahar aney ki kuch saza to milti hai
Log log hotey hain
Un ko kya khabar janan!
Aap ke iradon ki, khoobsurat aankho main
Basney waley khwabon ke rang kaise hotey hain
Dil ki goud aangan main, palney wali baton ke
Zakhm kaise hotey hain
Kitney gehrey hotey hain
Kab yeh soch saktey hain
Aisi be-gunah aankhain
Ghar ke koney khudron mian chup ke kitna roti hain
Phir bhi yeh kahani se
Apni kaj bayani se
Is qadar rawani se, dastan sunatey hain
Aur yaqeen ki aankhian
Sach ke gham zada dil se, lag ke roney lagti hain
Tuhmatain to lagti hain
Roshni ki khwahish main
Tuhmaton ke lagney se
Dil se dost ko janan!
Ab nidhal kiya karna
Tuhmaton se kiya darna!!!