Hussain
08-05-2009, 01:46 PM
Dil Ki Baatain Bata Deti Hain Aankhain
Dharkano Ko Jaga Deti Hain Aankhain
Dil Pe Chalta Nahin Jadu Chehron Ka Kabhi
Dil Ko To Deewana Bana Deti Hain Aankhain
Woh Hum Se Baat Nahin Karti To Na Karey
Haal Saara Un Ke Dil Ka Suna Deti Hain Aankhain
Gham Sada Rehta Nahin Aadmi Ke Saath
Ashk Bana Ker Chalka Deti Hain Aankhain
Aata Hai Jab Dor-e-jawani Tu Aye Yaaro
Sundar Sapney Zehan Main Basa Deti Hain Aankhain
Mana Ke Neend Aati Hai Aankhon Hi Ke Rastey
Magar Kabhi Kabar Neend Ura Deti Hain Aankhain
Shukar Hai Khuda Ne Aata Ki Aankhon Ki Neyamat Humain
Dard-o-gham Sarey Dil Ke Chupa Deti Hain Aankhain