"K.G"
07-31-2009, 03:53 PM
Kabhii Aah lab pe machal gayii Kabhi ashk aankh se dhhal gaye
Woh tumharay Gham ke chiraagh hain Kabhi bujhh gaye kabhii jal gaye
Main Khayaal-o-Khwaab kii mehfilen naa Baqadr-e-Shauq sajaa sakaa
Tumhari ik nazar ke saath hii mere sab iraaday badal gaye
Kabhii Rung mein kabhii Ruup mein kabhii Chhaawn mein kabhii Dhuup mein
Kahiin Aaftaab-e-Nazar hain woh Kahin Maahtaab mein dhhal gaye
Jo Fanaa huay Ghum-e-Ishq mein unhen Zindagi kaa naa Ghum huaa
Jo naa Apnii Aag mein jal sakay woh Paraayi Aag mein jal gaye
Yaa unhein bhii merii tarah Junuun, to phir unn mein mujh mein yeh Farq kyaa
Main Girift-e-Ghum se naa bach sakaa Woh Huduud-e-Ghum se nikal gaye