PDA

View Full Version : Give ur comments plz

dont depend on others
07-29-2009, 10:29 AM
:salam:
h r u ALLZ
i hope u r ALL fine

i wana know about ur thinking

as we are all know that kay namaz farz ha
buh tell me kaya hum apnay haqooq-ul-ebad poray na karan
or namazan parthay rahan tu kaaya mafi mil jay ge ???
kaya ALAH mafi day day ga ????????
kaya app janat man dakhil hoo sakan gay ?????

or dosri tarf ager app haqooq-ul-ebad poray kartay han or
faraz namaz nahi parthay
tu kaya app ki bakhshish hoo jay ge ????
app ager ALLAH say mafi mangoo tu milay ge ???
janat man dakhil hoo paen gay ????

Humaila
07-31-2009, 12:44 AM
Pehli baat yhe k insaan jub aise namaz pareh jaise muhammad(sww) ney farmaya hai hadiths mein.. kyo k wohi sahi tariqa hai.. aour namaz ki wajha se osske dil mein khauf paida ho jata hai aour oss kahuf ki wajha se woh dono haqoq-Allah aour haqooq-ul-ebad dono ko poora karta hai.. Kyo k osskey dil mein kahuf-e-khuda hota hai.. Kyo k jub hum insaan namaz partey hai to Allah(swt) humarey dilo mein aik narmi si paida kar deta hai.islye aghar hum koi ghalt kam kartey hai to humey dukh hota hai .. ... Allah (swt) farmata hai .. "Beshak namaz behayai aour borey kamon se bachati hai.. "
Aghar hum namaz sahi tareeqe se ada karey..

Allah se khauf karna isska matlab yhe nahi hai k , hum kampna shoro kar dey Allah ka nam sun kar.. Balkey khauf-e-khuda yhe hai k hum ghalt kam nahi kartey.. Aisa kam jo Allah(Swt) aour Muhammad(sww) k hauqam k khilaaaf hoon.. .. woh kam nahi kartey..

Allah (swt) oss insaan ko hidayat deta hai jo hidayat lena chahta hai.. Jub hum sahi tareeqe se namaz ada kartey hai to Allah(swt) humey boorey kamon se door karta hai.. ..

Baqi Allah(swt) behtaar jan'ey wala hai..

dont depend on others
07-31-2009, 05:15 PM
nice reply

khofay ALLAH tu aagaya lakin

ager hum namaz parh rahay hon or or humaray sath walay ghar man koi bhooka bhata ho
ya kisi kay sath ziyati hoo rahi hoo
ya log old logon kay sath bora salook kar rahay hon

tu app kay mutabik pahlay farz namaz ada karoo or than dosroon ki madad ????

man app kai knowlage man izafa karta chaloon kay
haqooq ALLAH say ziyada zarori haqooq-ul-Iebad han

!~*SOoLi
08-01-2009, 01:25 AM
ager hum namaz parh rahay hon or or humaray sath walay ghar man koi bhooka bhata ho ya kisi kay sath ziyati hoo rahi hoo ya log old logon kay sath bora salook kar rahay hon tu app kay mutabik pahlay farz namaz ada karoo or than dosroon ki madad ????

man app kai knowlage man izafa karta chaloon kay

haqooq ALLAH say ziyada zarori haqooq-ul-Iebad han

Walaikum As Salam ..
Sir.. Agar Hum Namaz Ka Time Ho Aur Humaray Sath Walay Ghar Main Koi Bhooka Ho To Namaz Parhnay Say Pehlay Khila Dijiye Ga Clear??

Agar Kisi Kay Saath Zyadti Horahi Ho To Un Kay Liye Jo Aap Kar Saktay Hain Wo Kijiye Ga Zohar Say Lay Kar Isha Tak Aap Bayhad Masroof Rahay Us Ko Insaaf Dilwanay Main Aap Ko Khana Khanay Ka Time Bhi Na Mil Saka "Misaal Kay Tor Par" .. Koi Baat Nahi Phir Aap Aglay Din Fajjar Ki Parh Lijiye Ga Phir Zohar Phir Asar Phir Maghrib Phir Isha .. Clear??

Agar Kisi Old Banday Kay Saath Bura Salook Horaha Ho to Aap Us Baywaqoof Admi Ko Jo Badtameexi Kar Raha Hoga Samjha Bujha Kay Masjid Ki Taraf Chalay Jana Namaz Ada Karnay .. Clear??

Meri Sari Bato Main Pehlay Haqooq Al Ibaad Aya Phir Haqooq Allah .. Magar Adaa Dono Hogaye!!

Main Aap Kay Knowledge Main Izafa Karta Chalo Kay Aksar Dil Kay Chor Khud Ko Bohat Safai Paish Kartay Hain Magar Allah Pak Moon Say nikli Baat Nahi Dil Say Nikli Baat Sunta Hay Aur Niyaato Ko Daikhta Hay Tabhi Amal Kabool Hota Hay ..

Humaila
08-01-2009, 02:15 AM
very nice reply.. brother..

dont depend on others
08-01-2009, 02:33 PM
ahan or maaray kahnay ka matlab be yahi tha lolx

!~*SOoLi
08-01-2009, 08:13 PM
Nahi Aap Ka Matlab Tha Haqooq Allah Say Zyada Zaroori Haqooq Al Ibaad Hay, Magar Mera Matlab Tha Ye Dono Hi Bohat Zaroori Hain :)

dont depend on others
08-01-2009, 10:34 PM
yap dono hi zarori han lakin

haqooq ALLAH ki mafi ALLAH day sakta ha
lakin haqooq ul IBAD ki mafi ALLAH nahi day sakta jab tak Insan maf na karay

!~*SOoLi
08-01-2009, 11:10 PM
Bilkul Yaar Moin Sahi Kaha Tum Nay.. Allah Pak Haqooq Al Ibaad Muaf Nahi Karay Ga ..
Acha Yaawr Jaha Tak Main Soch Raha Hoon Ye Question Aap Kay Zahen Mai Khushboo Kay Thread Ki Waja Say Aya .. "Azab-e-Qabar With Pic" .. Main Nay Waha Aap Kay Comments Read Kiye Thay ..

Yaawr Asal Main Azaab-e-Qabar Main Mubtala Hi Wo Log Hotay hain Jinho Nay Namaz Main Susti Ki.. Aur Jinho Nay Astanja "Taharat" Ka Khayal Nahi Rakha .. Aap Nay Us Thread MainKaha Tha Kay Yeah Sab Fake Hay .. Magar Dar Asal Qabar Main Namaz Ka Sawal Hota Hay .. Aur Aap SAW Ki hadith Mafhoom Bhi Hay Kay Agar Muslamaan Buray Insaan Ki Qabar Ka Haal Jaan Lain To Wo Apnay Murday Jungle Main Phaink Aye Kabhi Dafnaye Na .. Isi Liye Waisi Cheezain Daikh Kar Fake Nahi Kehna Kabhi Hamesha Astaghfaar Karna .. Feamanullah :)

dont depend on others
09-11-2009, 10:36 AM
buddy
i know it very well
so i ll ask 1 more q from u
that app nay hadith ki bat ki ha
mujay ya batoo hadith ki 1st book kab likhi gai thee
or hazoor-e-pak (SAW) kay wisal ko kitna arsa guzar choka tha ??????

dont think mara kisi firqay say taluq ha
i am just a muslim

~*Gillanii
09-11-2009, 12:08 PM
Ahadit Ki Sab Say Purani Kitaab Bukhari Shareef Hay, Jisay Imam Bukhari Nay Tareeb Diya ...

Imam Bukhari, Aap "SAAW" Kay Dunya Say Parda Farmanay Kay Takreeban 200 Saal Baad Bukhara main Paida Howay..

dont depend on others
09-11-2009, 02:02 PM
. \|/
. :) . . . . .;)
< | > ...... < | >
_/ \_. . . ._/ \_.

* ´¨)
¸.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•` * ..:¨¨** ¤° ¨¨ ° ...

. or unhon nay apni kitab koi 250 sal kay bad likhi hoo gi
right ??????
hum quran say hi sab kuch q nahi sikhtay jo ALLAH nay kitab nazil ki ha
hum hadith ki books say q dakhtay han ji sko insan nay banaya ha
or insan tu ha hi galti ka putla

is an man ik bat posheeda rakhi ha man nay shid app ko samjh aajay
ager nahi ati tu plx ghoor zaror karna .

                           * ´¨)
                           ¸.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨)
                           (¸.•´ (¸.•` * ..:¨¨** ¤° ¨¨ ° ...

~*Gillanii
09-11-2009, 02:59 PM
Ahadith Kay Munkar Ho To Quran-e-Pak Kay Bhi Munkar Bano :) Kion Kay Is Ko Kitaab Ki Shakkal Bhi Insaan Nay Di Hay ..

Kabhi Socha Hay Pehli Ayat Jo Ap "SAW" Par Utri, Wo To "Iqra Bi'Ismi" Thi, Aaj Quran-e-Pak Ki Pehli Ayat "Alhamdulillah Hi RabbiL' Alaameen Hay" Hay ..

Waja Yehi Hay K Jab Aap "SAW" Par Quran-e-Pak Nazil Howa, To Katebeen-e-Wahi Nay Khajoor Kay Khushq Patto'n Aur Patharo'n Par Ayaaat Likhi'n .. Baad Main Hazrat Umar "RA" Kay Daur-e-Khilafat Main Isay Aik Kitaab Ki Shakal Di Gai :)

dont depend on others
09-11-2009, 03:08 PM
. \|/
. :) . . . . .;)
< | > ...... < | >
_/ \_. . . ._/ \_.

* ´¨)
¸.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•` * ..:¨¨** ¤° ¨¨ ° ...

. apnay app ko sahi samhnay walay bhi
munkar kay matlab ka pata ha
insan kay pass aqal hoo na tu us ka istamal be karoo
ya batoo quran-e-pak ko wahi kay zariya ALLAH pak nay nazil kiya ????
quran ki hifazat ka zima ALLAH nay liya ha ??????
hades ki kitab kis nay insan nay likhi ?????
ALLAH nay kaha kay likhoo ??????
4 dosri Islamic Kitabeen han wo be ALLAH nay hi NAzil ki theen Un ki
hiFazat ka zima nahi liya ?????????????
tum un man CHnage aya ha ????????
buddy pahlay sochoo phir bolo
pahlay toolo phir bolo .

                           * ´¨)
                           ¸.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨)
                           (¸.•´ (¸.•` * ..:¨¨** ¤° ¨¨ ° ...

dont depend on others
09-11-2009, 03:13 PM
. \|/
. :) . . . . .;)
< | > ...... < | >
_/ \_. . . ._/ \_.

* ´¨)
¸.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•` * ..:¨¨** ¤° ¨¨ ° ...

. Quran-e-pak ko Hadith Ki kitaboon say Compaire na karoo
or man HAdith ka Munkar nahi hon
lakin mari AQAl Kahti ha Kay hadith Ki books Jo likhi Gain han
Ager wo Shai likhi gai theen
tu ab tak us man kafi change aagaya ha ya agay ahoo ga
aj jo 24 ya 26 firqay ban chokay han q banay han kasay banay han ????
jab kay ALLAH nay tu kaha Quran-e-pak man
ALLAH ki rasi ko thamay rahoo or tafarqay man na paroo ????
tu ya ullma q kahtay han hum suni
hum ahl-e-hadith
hum shl-e-tashee ???? .

                           * ´¨)
                           ¸.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨)
                           (¸.•´ (¸.•` * ..:¨¨** ¤° ¨¨ ° ...

dont depend on others
09-11-2009, 03:15 PM
. \|/
. :) . . . . .;)
< | > ...... < | >
_/ \_. . . ._/ \_.

* ´¨)
¸.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•` * ..:¨¨** ¤° ¨¨ ° ...

. or Quran-e-pak nazail ALLAH nay kiya
HAzoor Pak SAW pay kiya
ab wo kahan say start kiya kahan say khatam kiya
or us ki tarteeb kaya bani jani thee
wo PAk zat bahtar janti ha
us baray man man kuch nahi kah sakta .

                           * ´¨)
                           ¸.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨)
                           (¸.•´ (¸.•` * ..:¨¨** ¤° ¨¨ ° ...

~*Gillanii
09-11-2009, 03:25 PM
. apnay app ko sahi samhnay walay bhi
munkar kay matlab ka pata ha
insan kay pass aqal hoo na tu us ka istamal be karoo
ya batoo quran-e-pak ko wahi kay zariya ALLAH pak nay nazil kiya ????
quran ki hifazat ka zima ALLAH nay liya ha ??????
hades ki kitab kis nay insan nay likhi ?????
ALLAH nay kaha kay likhoo ??????
4 dosri Islamic Kitabeen han wo be ALLAH nay hi NAzil ki theen Un ki
hiFazat ka zima nahi liya ?????????????
tum un man CHnage aya ha ????????
buddy pahlay sochoo phir bolo
pahlay toolo phir bolo .

Munkar Ka Matlab Main Achi Tarha Janta Hoon.. Tumhari Auqaat Kya Hay jO Tum Bukhari Ki Hadith Ko Man-Gharat Ya Jhoota Keh Do?? .. Main To Tumhai Munkar Kaho'n Ga :) Tum Bhi pehlay Socho, Tolo Aur Bolo .. Quran-e-Pak Ki Misaal Main Nay Isi Liye Di K Isay Bhi Insaan Nay Tarteeb Diya, humain Kis Tarha Pata Laga Is Ki Hifazat Ka Zima Allah .. Zahir Hay Ahadith Say Aur Quran Say.. Aur Tum Keh Rahay Ho Yey Bukhari Shareef, Yey Kanzul Imaan Etc Etc Kuch Nahi Sirf Quran Say Madad Lo ..

~*Gillanii
09-11-2009, 03:28 PM
. or Quran-e-pak nazail ALLAH nay kiya
HAzoor Pak SAW pay kiya
ab wo kahan say start kiya kahan say khatam kiya
or us ki tarteeb kaya bani jani thee
wo PAk zat bahtar janti ha
us baray man man kuch nahi kah sakta .

Yaar Tum Hadis Kay Baray Main Kaisay Keh Saktay Ho Phir :o Tumhain Kis Nay Keh Diya Kay Yeyy Kitabain Band Kar Kay Almari Main Rakh Do :o Kion Kay Is Main Radd o Badal Hogya Hay :o "Astghfirullah"

dont depend on others
09-14-2009, 11:25 AM
Munkar Ka Matlab Main Achi Tarha Janta Hoon.. Tumhari Auqaat Kya Hay jO Tum Bukhari Ki Hadith Ko Man-Gharat Ya Jhoota Keh Do?? .. Main To Tumhai Munkar Kaho'n Ga :) Tum Bhi pehlay Socho, Tolo Aur Bolo .. Quran-e-Pak Ki Misaal Main Nay Isi Liye Di K Isay Bhi Insaan Nay Tarteeb Diya, humain Kis Tarha Pata Laga Is Ki Hifazat Ka Zima Allah .. Zahir Hay Ahadith Say Aur Quran Say.. Aur Tum Keh Rahay Ho Yey Bukhari Shareef, Yey Kanzul Imaan Etc Etc Kuch Nahi Sirf Quran Say Madad Lo ..

bhi human ya sab quran-e-pak say pata chalta ha
or guran-e-pak ko humari zindagi ka zabta-e-ikhlad kaha gaya ha

man manta hon kay jo ahdess ki kitaben likhi gain
wo theek likhi gaio hon gee
lakin i know kay is man bohat had tak change aagaya ha
q kay alim hazrat firqawariyat man ahadth ko istamal kartay han
wahan say hi misalan datay han

ab tum alimoon kay liya bolo gay tu chaloo ik share say alimo kay baray man bata data hon
punjabi ka ha haqbahoo sarkar ka

may be samjh na aay

jaay kar deen ilam wich honda sar nazay q charday hoo
18000 jo alam hoya agay hussain day marday hoo

or buddy jab quran man humaray saray masloon ka hal ha
tu hum q na quran say hi sab kuch seekhan ??????

dont depend on others
09-14-2009, 11:28 AM
Yaar Tum Hadis Kay Baray Main Kaisay Keh Saktay Ho Phir :o Tumhain Kis Nay Keh Diya Kay Yeyy Kitabain Band Kar Kay Almari Main Rakh Do :o Kion Kay Is Main Radd o Badal Hogya Hay :o "Astghfirullah"

man ay ya nahi kaha kitaban band kar doo
lakin jo kitabeen parhtay ho
ya koi masla jana ha tu quran sab say bahtar kitab ha

jis kay bahtreen honay ka iqrar khud ALLAH subhan-o-watal kar raha ha
quran-e-pak man

dont depend on others
09-14-2009, 11:30 AM
or buddy mara hadith say koi inkar nahi ha
lakin jasay dosray log ahdith ko mantay han
man nahi manta us had tak

q kay insan galti ka putla ha

~*Gillanii
09-14-2009, 07:24 PM
Bro, yeyy Mera Last Msg Hay, Aur Umeed Hay Is Bar Aap Samajh Jao ..

Hadith Aur Quran .. Dono Hi Allah Pak K ILFAZ Hain, Faraq Itna Hay Quran Ki hifazat Ka Zima Allah K Pass Hay Aur hadith Main Rad O Bada Howa Hoga Yal Hosakta Hay.. Magar Hadth Kay Liye "Zaeef" Word Use Kiya Jata Hay Wo Bhi ILM Rakhnay Walay Log Mil Kay Faisla Kartay Hain, K Yeyy Hadith Zaeef Hay Ya Sahi .. Mere Jaisa Ya Aap Jaisa Moon Utha Kay Nahi Keh Sakta Kay Yeyy Hadith Aisi Hogi Ya Waisi Hogi .. Kion Aap "SAAW" Nay qyamat Ki Nishanio Main Aik Nishani Yey Bhi Batai Hay K Meri Hadeeso'n kO Jhutlaya Jaye Ga .. To Bhai, Aap Please Hadit Ki Bayhurmati Mat Kijiye, Aap Nahi Jantay jO Aap Keh Rahay Hain Wo Bohat Ghalat Baat Hay :)

~*Gillanii
09-14-2009, 07:30 PM
Hadees Hamesha Quran-e-Pak Ki Baat Ki Tashreeh Hoti Hay, Yani jO Baat Quran-e-Pak Main Huwi Hadis Bhi Wohi Baat Karay Gi, Zara Tafseel K Saath .. Aur hamesha Hadees Ki Tasdeeq, K Yeyy Sahi Hay ya Zaeef Quran-e-Pak Main Daikh Kar Hi Faisla Kiya Jata Hay .. K Ayaa Is Hadis Main jO Baat Bayan Ki Gai Quran-e-Pak Main Maujood Hay Ya nahi !! ..

Ab Aap Mujhay Yeyy BataO Aap Keh Rahay hO Quran-e-Pak Say Dhoondo Problem Ka Solution, Kya Sawal Hay brO Aap Ka .. Inshallah Main Poori Koshish KarO Ga Aap Ko Us Ka Solution Quran-e-Pak Say Nikal Kar Doon..

dont depend on others
09-16-2009, 01:34 PM
mara ya sawal ha kay
jab hazrat adam AS ko un kay gunah par ALLAH nay un ko
zameen par bhaja tha
or us kay bad unhon nay ALLAH say dua ki thee

wo dua kaya ha ????????

~*Gillanii
09-18-2009, 02:36 AM
Pata hay kya bhai.. Mera Matlab yey Tha Kay Topic Say Related Koi Cheez Quran-e-Pak Say Poochna Chahtay Ho, To Main Dhoond Kay Batanay Ki Koshish KarO'n Ga .. Phir Bhi Man Nay Yeyy Duwa Dhoondnay Ki Koshish Ki, Nahi Mil Saki :) Behtar Hoga Kisi Alim Say Rujoo Kijiye..

~*Gillanii
09-18-2009, 06:56 AM
mara ya sawal ha kay
jab hazrat adam AS ko un kay gunah par ALLAH nay un ko
zameen par bhaja tha
or us kay bad unhon nay ALLAH say dua ki thee

wo dua kaya ha ????????

BrO Zameen Par Bhaijnay Kay Baad Nahi Unho Nay Bahisht Main hi duwa Ki Thi, Mubarik Ho Mujhay Mil Gai Hay..
Mein 2 Ayat Share Kar Raha Hoon .. Aik Main Hazrat Adam O Hawa "AS" Ki Duwa Hay Aur Doosri Ayat Say Yey Sabit Hota Hay Kay Wo Tab Bahisht "Jannat" Main Hi Thay ..

Sura'h AL'Araaf, 8th Para, Verse#23

http://i216.photobucket.com/albums/cc114/SOoLe_Gillanee/Ayah%20and%20ahadith/DuwaHazratAdam.jpg

Dono "Adam O Hawa" Arz Karnay Lagay, Kay Parwardigaar Hum Nay Apni Jano Par Zulm Kiya Aur Agar Tu Humain Nahi Bakhshay Ga Aur Hum Par Rahem Nahi Karay Ga To Hum Tabah Hojaye Gay..

They said: "Our Lord! We have wronged ourselves. If You forgive us not, and bestow not upon us Your Mercy, we shall certainly be of the losers."

Sura'h AL'Araaf, 8th Para, Verse#24

http://i216.photobucket.com/albums/cc114/SOoLe_Gillanee/Ayah%20and%20ahadith/1-2.jpg

Allah Nay Farmaya Tum Sab Ba'hisht "Jannat" Say Utar Jao, Ab Say Tum Aik Doosray Kay Dushman Ho Aur Tumharay Liye Aik Waqt-e-Khas Tak Zameen Par Thikana Aur Zindagi Ka Samaan Kar Diya Gya Hay ..

(Allâh) said: "Get down, one of you is an enemy to the other [i.e. Adam, Hawwa (Eve), and Shaitân (Satan),]. On earth will be a dwelling-place for you and an enjoyment, - for a time."

~*Gillanii
09-18-2009, 06:58 AM
Duwa Main yaad Rakhiye Ga .. Aur Kisi Cheez Ki Zaroorat Howi To Please Batana, Inshallah I'll Consult With ALIM SAHIB ..

dont depend on others
09-30-2009, 02:48 PM
yap now u did the right thing

yahi mara maqsad tha
look app nay dhond app ko mil gai
or man already ya janta tha
quran-e-pak man har maslay ka hal mojood ha

thx and nice 2 talk wid u

!~*SOoLi
09-30-2009, 03:21 PM
My Pleasure ..

wicked sonya
02-08-2010, 04:00 PM
dono hi farz hain

Attitude_killer
03-26-2010, 11:57 PM
dono he farz hain aur dono he ek maqsidiyat ke sath mojodd hain

jahan jahan QURAN-E-KAREEM MAIn namaz ka hukum dia gaya hai wahin par ZAKAT adda karne ka bhi hukum dia gaya hai.

hauqul ibad humain bandon se aur hauqullah humain Allah se qareeb karte hain

shani
04-11-2010, 09:34 PM
Namaz-Haqoq ebaad well said alls.. specialy main Sooli bhai say safasfy howa hon.bohat ache tara say sawalo ka jawab dia..MASHALLAH..ALLAH BLESS YOU ALLS (AMEEN SUM AMEEN)

shani
04-11-2010, 09:45 PM
Jazak allah

!«╬Ĵamil Malik╬«!
05-09-2010, 11:08 AM
Jazak allah

HaNiyA
05-26-2010, 01:04 AM
well v intresting questions ,faraz vo chez h jo ap n har hal m krni h iz ki koi mafi ni h so namaz ek aham farzya h or us m hm kotyi krty h so vo Allah or bndy ka mamla h bt hm ko ni bholna chyi k shaitan ko srf janat s nikla gya tha 1 sajda na karnay pr or jaha tk hkok ul ibad ki bat h tu Allah N shayd hm ko iz liay hi duniya m bheja h k hm 1 dosry k kam asaky
dard e dil k wasty paida kia insan ko
wrna atat k liay kam n thy karo bayan
iz s hi sahir hota h k insan ka duniya m anay ka muqsat kia h ,Allah Subhn wa tala k pass atat karnay walo ki kami ni h yeh hmray utny s phely hi chrnd parnd Allah ki hi hamdo sana kr rahay hain,yeh pair poday even hmra jsm bhi 1 tahkek k mutabiq hmra dil dhak dhk kr raha hota h vo dhk ni rab rab kr raha hota or frishty vo hr waqt Allah ki hmdo sana m hoty hain so ALLAH SUBHNO tala k pass us ki hamdo sana kray walo ki kami ni h insan ko banay ka muqst zamen pr Allah ka khifa or nayab tha jo logo ko sher or bad k baray m bty Quran utha kr dekhin Hukok ul ibad k baray m kia kia likha 1 hades h tm s bhetr vo h jo iklaq m acha ho ,ak or hades logo m afazl vo h jo dsry logo k liay mufit hai
hmain Allah n ak dsury ki madat k liay bheja h asy jaqa jaha sb mil kr rahen khushi mil kr many o ek dsry k gahm m shrek hon rek hon
Apnay liay tu sab hi jety hain iz jahan m
h zindagi ka muqsat auro k kam ana
or hm ko sath sath Hukok ul Allah ko farmosh ni krna chy bcoz Allah hi vo mailq or pak zat h js n hm ko bnya js k dam s yeh kaynat h or Allah hmray sHAE RAQ S bhi nzadiq h so Allah ka shukr ata krty rehna chy or iz ka best zarya h namaz ek hades h momino ager tm ko pta chal jai k tm ks k samny khry ho or ks s hmkalam ho tu tm qayamat tk salam na phero or jaha tk mafi ki bat h Allah gafor rahim h khud Quran m h k tm mj samafi mangom tmhain maf karun ga or momin duniya m musafir ki tarah rehta h bcoz us ka belive h k us n 1 din yeh jahan fani chor kr jana h so vo kam Krta h js m Allah ki raza shamil ho jaha tk yeh sawal h k janat m jain gay ya ni so may be ap apni 1 naiki ki waja s Allah ap ko janat m takhil kr dey or may be ap bhut amil fazil ho bt aisa kch kar bheto k vO galti janat ki rah m rukwat ban jai khair Hukok Allah k liay hm Allah s mafi mangty h bt Hukok ul ebd ko Allah maf ni krta or Qayamt m iz ka pora pora bdla dia jai ga HUkok UL Allah or hukok ul ibad 1 seky k 2 asy rukh h jo 1 dsry k liay lazim or mulzom hain s

so hm ko dunya m vo sb krna chy js ka hm n Allah s promise kia h or jha tk ho sky iz jhoti duniya or iz k faraib s bachna chy bcoz 1 na 1 din iz Duniya ko khtm hona h or hm nay bhi hr uroj ko zawal h mager Allah subhno tala ki hi zat lazaval h so v should act according to Quran nd Sunnah

jaqa gi lagany ki duniya nahi h
yeh ibrd ki ja h tamsha nahi h

Noor ul huda
05-26-2010, 03:10 AM
Hmmm...Both r important as well...

MashAllah ...

dont depend on others
06-05-2010, 02:37 PM

haniya its realy nice to hear ur comment
thx 4 the commenting

!«╬Ĵamil Malik╬«!
06-06-2010, 03:11 PM
nyc sharing

princess11
06-06-2010, 08:16 PM
nice sharing

dont depend on others
06-08-2010, 12:57 PM
thx guys

DiE
08-01-2010, 02:26 AM
Walaikum Assalam
Huqooqul Ibad or Namaz ?
hum ye ku nahi sochte k ALLAh Rabbul alameen k batey hoye kamoo mai se konsa kaam tarak karna kisi sourat theek hai ???
ALLAH Kareem or Nabi Akhir uz zaman (S.A.W.W) nai jo bhi kaam hmarey liye mukhtas kiye hain wo sab hamai lazim porey karney hain bilkul us tarha jis tarha KHANA khana hamarey liye zaroori hai
ALLAh se hamai ummeed nahi rakhni chahey balkey ye yaqeen hona chahey k ALLAh Pak hamai MOAF kar dai ga ku k ALLAH bara GHAFOOR UR RAHIM hai lekin hamai koi bhi kaam wo jo ALLAH or RASOOL (S.A.W.W) nai bataya tarak karne se pehley ye zaroor soch laina chahey k usi ALLAH ka name QAHHAR bhi hai.
agar hum ye soch lainge to kisi bhi naik kaam ko tarak nahi karenge.
Beshak Allah bara ghafoor ur rahim hai or bara moaf karney wala hai.

Shaam
10-24-2010, 08:05 PM
aap khana khalo paani na pio zinda raho gei ?
chalo paani peete raha karo khana na khao zinda raho gei ?

hope samjh agaya hoga.

Ṕø$ṫ ℛЇḎℰℜ
02-12-2011, 08:11 AM
jåẐåḰ ѦḺḺѦĦ

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.