Log in

View Full Version : "~H.Z~" Collection...!!


MeOw*
07-24-2009, 10:23 PM
ishq ka hai kaam porana chain ban k chain churana
dey k qarar phir be qarar kar jana ishq ka hai kam porana dil aaye dil pe to wapis na ja paey
khamosh rahey phir chupkey se koi bat kar jana
ishaq ka hai kaam porana chain ban k chain churana

MeOw*
07-24-2009, 10:25 PM
Aziatoon k tamam nashter meri ragoon main utar kr wo bari muhabt se poochta he teri ankhoon ko kia hua.

MeOw*
07-24-2009, 10:27 PM
Mujhe bechain karte hain tumhare sath guzre pal.
Tumhare qurb ki yadain tumhare wasl ki batain.
Tumhare sath wo bahon main bahain dal kar chalna.
Tumhain hi yad kar k hijr ki raton main phr jalna.

Bare hi dhyan se sunna tumhare 1 1 harf ko.
Tumhare labo se brasti mehkti kalion ko chunna.
Wo february ki sardion ki dhup ka anchl.
Or us kay saye main bethe mera tere qarib ana.

Boht bechen rehna tab mera tujh se milne ko
1 anjan se dr se mera khud hi sambhl jana.
Tarap kar din guzrna or jal kar rat ka dhalna.
Tmhari yd ki shamen jala kr khd b sng jalna.

Wo tute dl k khali or bosida se sfhon par.
Teri tswir bnana or us main rng na bhrna.
Wo rfta rfta tera mjh main kch aise sama jana.
K tujh say dur ho kar mera 1 pl b na reh pana.

Phir 1 din tujh say milnay ko mera tadbirain karna.
Or mil kar tujh say mera phr zara bebaak ho jana.
Bare tapak se barhna mere dil ka teri janib.
Or phr gheron kay dar say meray jazbon ka jhuk jana.

Bitha kar samnay tujh ko phr hasrat se mera takna.
Tumhare lakh kehnay par mera kuch b na keh pana.
Wo bin bolay tera meri har 1 uljhan samajh jana.
Woh goya maazi'e'jameel kay purnoor lamhay hain.
Magar main aj un ko soch kar bechain rehta hunMujhe bechain karte hain tumhare sath guzre pal.
Tumhare qurb ki yadain tumhare wasl ki batain.
Tumhare sath wo bahon main bahain dal kar chalna.
Tumhain hi yad kar k hijr ki raton main phr jalna.

Bare hi dhyan se sunna tumhare 1 1 harf ko.
Tumhare labo se brasti mehkti kalion ko chunna.
Wo february ki sardion ki dhup ka anchl.
Or us kay saye main bethe mera tere qarib ana.

Boht bechen rehna tab mera tujh se milne ko
1 anjan se dr se mera khud hi sambhl jana.
Tarap kar din guzrna or jal kar rat ka dhalna.
Tmhari yd ki shamen jala kr khd b sng jalna.

Wo tute dl k khali or bosida se sfhon par.
Teri tswir bnana or us main rng na bhrna.
Wo rfta rfta tera mjh main kch aise sama jana.
K tujh say dur ho kar mera 1 pl b na reh pana.

Phir 1 din tujh say milnay ko mera tadbirain karna.
Or mil kar tujh say mera phr zara bebaak ho jana.
Bare tapak se barhna mere dil ka teri janib.
Or phr gheron kay dar say meray jazbon ka jhuk jana.

Bitha kar samnay tujh ko phr hasrat se mera takna.
Tumhare lakh kehnay par mera kuch b na keh pana.
Wo bin bolay tera meri har 1 uljhan samajh jana.
Woh goya maazi'e'jameel kay purnoor lamhay hain.
Magar main aj un ko soch kar bechain rehta hun

MeOw*
07-24-2009, 10:28 PM
dil ne tumhen chaha bhi buhat hai
humne tumhen manga bhi buhat hai
chahe to poochlo apne dil se
humne tumhen pukarachahe to poochlo apne dil se
humne tumhen pukara bhi buhat hai
andheri si raat main awaaz si aai
suno is raat ke baad ujala bhi buhat hai
door hove to ehsaas ye hova
ke bin tere dil udaas bhi buhat hai
raha bhi nahi jata ek pal door tumse
kiya karin humen tumse pyar bhi buhat hai

MeOw*
07-24-2009, 10:29 PM
shab-e-hijr subha-e-visal hai tera aks jab bhe jaga liya,

teri yaad dil ka chrag hai sar-e-shaam hi say jala liya.....

MeOw*
07-24-2009, 10:31 PM
dil ne tumhen chaha bhi buhat hai
humne tumhen manga bhi buhat hai
chahe to poochlo apne dil se
humne tumhen pukarachahe to poochlo apne dil se
humne tumhen pukara bhi buhat hai
andheri si raat main awaaz si aai
suno is raat ke baad ujala bhi buhat hai
door hove to ehsaas ye hova
ke bin tere dil udaas bhi buhat hai
raha bhi nahi jata ek pal door tumse
kiya karin humen tumse pyar bhi buhat hai

MeOw*
07-24-2009, 10:32 PM
lakh sahi wo chand si surat zolfo k kham achay hain
dil ka mosam acha ho to saray mosam achay hain

MeOw*
07-24-2009, 10:33 PM
shayad woh likh hi de teray haatho'n ki lakeero'n mein mera naam --

tu kaatib-e- taqdeer se zara israar to kar k deikh

MeOw*
07-24-2009, 10:34 PM
Only 4 my PRINCE

Buhat magroor bantay ho,bohat eeqan hai khud par,

Kabhi tau jaan jao gay muhabbat jeet jati hai,

Kabhi tau haar jao gay,kaho gay yaad aati hai,

Haan tum eeman lao gay MUHABBAT JEET JATI HAI.....

MeOw*
07-24-2009, 10:36 PM
her saans meri amanat hai teri yaadun ki
tooot k is se ziada main tumhai or kesy chahun

MeOw*
07-24-2009, 10:38 PM
kabhi yun bas a meri ankh main ke meri ankh ko khaber na ho mujhe ik raat nawaaz de mager us ke baad sehar na ho

!~*SOoLi
07-24-2009, 10:38 PM
Only 4 my PRINCE

Buhat magroor bantay ho,bohat eeqan hai khud par,

Kabhi tau jaan jao gay muhabbat jeet jati hai,

Kabhi tau haar jao gay,kaho gay yaad aati hai,

Haan tum eeman lao gay MUHABBAT JEET JATI HAI.....

Hayeee Oyeeee .. Eh Zed Zara Humain Bhi Batao Apnay Prince Ka Naaam :zpghh: :zpghh: :zpghh:

MeOw*
07-24-2009, 10:39 PM
ay chand apni chandni un per nechawar krna
unahin apni agoush main lena...
Unhain pyar say thapki dena...
Or kehna
unahin hum pyar krtay hain unahin hum yaad krtay hain
ay barish apney nanhey qatron say
un k chehray ko behgo dena ...
Un k galon ko choom lena
un k hoonton per boosa deyna.....
Aur kehna
unhain koi yaad krta hai .....

MeOw*
07-24-2009, 10:39 PM
mera b dil krta hai k mere angan mei,
khile aik phool ,banoo mein b maa,
bhr k goad mein usko doon taroo ka jhola ,
ik muskrahat pe uski sari khushyaa war doon,
mera b dil krta hai k mere angan mein,
khile aik phool, banoo mein b maa,
jab wo nanha farishta khele ga mere ghar mei,
kaliyan hi kaliyan mehkein gi mere daman mein,
mera b dil krta hai k mere angan mein,
khile aik phool, banoo mein b maa,
pariya ak jo sunayei usko loriyaan,
bhar dei rang hi rang mere anchal mein,
mera b dil krta hai k mere angan mein,
khile aik phool, bunoo mein b maa.

!~*SOoLi
07-24-2009, 10:39 PM
HAHAHAHAHAHA :laugh: :(l0l):

MeOw*
07-24-2009, 10:40 PM
sooli lolz

:welcome:

!~*SOoLi
07-24-2009, 10:40 PM
wah Wah Kamal Hogya ... Great Sharing Keep It Up! :(l0l):

MeOw*
07-24-2009, 10:40 PM
wo to mujhay bhi nahi maloom naam :naraz:

MeOw*
07-24-2009, 10:41 PM
thnx thnx lolzz :peace:

MeOw*
07-24-2009, 10:41 PM
main nay dakha tha un dino main usay
jab wo khiltay gulab jaisa tha
us ka rukh mahtab jaisa tha
loog suntay thay dharkoon main usay
MAIN NAY DAKHA THA UN DINO MAIN USAY
srai ankhain theen ankhain us ki
saray chahroon main intikhab tha wo
apne neendain us ki nazar hoeen
main nay paya tha ratjagoon main usay
MAIN NAY DAKHA THA UN DINO MAIN USAY

jab wo hans hans k bat karta tha
dil k khaymoon main rat karta tha
rang partay thay anchloon main usay
MAIN NAY DAKHA THA UN DINO MAIN USAY

yeh magar dair ki kahani ha
yah magar door ka fasana ha
us k maray milaap main hail
ab to sadyoon bhara zamana ha
na janay wo in dinoo kaisa ha
MAIN NAY TO DAKHA THA UN DINO MAIN USAY

MeOw*
07-24-2009, 10:42 PM
"Kabhi Jo Hum Nahi Hon ge
Kaho Kisko Batao gi
Wo Apni Uljhanay Sari
Wo Bechaini Mei Doobay Pal
Wo Ankhon Mei Chupay Ansu

Kisay Phir Tum Dikhao gi
Kabhi Jo Hum Nahi Hon ge
Bohat Baychain Ho gi Tum
Bohat Tanha Reh Jao gi
Abhi B Tum Nahi Samjhi
Hamari Un Kahi Batein
Magar jab Yaad Ain gi
Bohat Tumko Rulain gi
Bohat Chaho gi Phir B Tum
Hamein Na Dhound Pao gi
Kabhi Jo Hum Nahi Hon ge "

MeOw*
07-24-2009, 10:42 PM
Aksar jub hum aap ko yaad kartey hain,

Tau apnay RAB say yehi faryad kartey hain,

Umar hamari bhi lag jae aap ko,

K hum aap ko khud say bhi zaida pyar kartey hain...

MeOw*
07-24-2009, 10:43 PM
usay chaha to buhat mager wo mila hi nahi
Lakh koshishain kiin mgr fasla mita hi nahi
Zamanay nay usay is qader tang ker dya
meri kisi sada pe wo ruka hi nahi
Her ik se poocha sbab us k na milnay ka
Her ik ne btaya wo tey lye bna hi nahi
Khuda Se jholi phela phela k manga usy
Khuda ne mri kisi sda ko suna hi nahi
Main Tmam umer koshishon k bawajood thak gya
Wo usay Mil gya jis ne kbhi usay manga hi nahi

MeOw*
07-24-2009, 10:43 PM
ik din zamien orh k so jaien gay hum bhi
rehta nahi insaan to rehta nahi ghum bhi

MeOw*
07-24-2009, 10:44 PM
kitabon sa daleel don ya khud ko samny rakho faraz...
wo mjhe say poch betha hai muhbbat kis ko kahty hai...

SHAYAN
07-24-2009, 10:52 PM
Only 4 my PRINCE

Buhat magroor bantay ho,bohat eeqan hai khud par,

Kabhi tau jaan jao gay muhabbat jeet jati hai,

Kabhi tau haar jao gay,kaho gay yaad aati hai,

Haan tum eeman lao gay MUHABBAT JEET JATI HAI.....

Dis Poetry 4 Me :rose5wd: :OOPs: :be mine!:
lol V.Nyc Poetryz Allz

SHAYAN
07-24-2009, 10:54 PM
Zaberdast H~Z Thread Banate He Chaa Gayi Wah G Wah :;party:

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
07-24-2009, 10:54 PM
beautiful shayri.. collection.....

safa
07-24-2009, 11:10 PM
bahut achey................:4qporaw:

life2
07-24-2009, 11:15 PM
nyc

dur-e-shahwar
07-25-2009, 03:11 AM
v nyc api

SHAYAN
07-25-2009, 04:24 AM
:shooting:

SHAYAN
07-25-2009, 04:25 AM
:shooting::chal-mitwa:

MeOw*
07-25-2009, 01:46 PM
Thank You Allz ..

D.M
07-25-2009, 01:59 PM
barbaad honey ke aur bhi rastey they faraz
na janey hamein mohabbat ka hi khayal kio aaya :D

D.M
07-25-2009, 02:00 PM
jab se utra hai tere dard ka nasha mjh mein..
Lutf aata nahi duniya ki sharabon mein mjhe :D

MeOw*
07-25-2009, 02:04 PM
Very Nice D.M :bu:

:choza:

FAJAAN
07-25-2009, 03:09 PM
zabardast h.z

MeOw*
07-25-2009, 03:12 PM
thnx fajaan

K@IN@@T
07-25-2009, 03:14 PM
v nice hz api:;shyy:

MeOw*
07-25-2009, 03:22 PM
thnx Hafsa ..

MeOw*
07-25-2009, 03:24 PM
kabhi yun bas a meri ankh main ke meri ankh ko khaber na ho mujhe ik raat nawaaz de mager us ke baad sehar na ho

MeOw*
07-25-2009, 03:25 PM
Guzre howe kuch waqaton ne yun badal diya hamien
Jese tapte howe sahera ne julsa diya hamein

Tammam diwarien mohabbat ki reza reza ho gaye
wo jab kehne aya k hum ne choor diya tumhein

Tere naam ko apne naam ke sath dekhne ki aadat ti khabi
ab ho jate hai anjan jab pukarta hai koi us naam se hamein

K@IN@@T
07-25-2009, 03:27 PM
v nice:playyy:

!~*SOoLi
07-25-2009, 03:28 PM
Ishq Kay ilaqay Main,
Hukm-e-Yaar Chalta Hay ..
Zabtay Nahi Chaltay !!

Husn Ki Adalat Main ..
Ajizi To Chalti Hay,
Martabay Nahi Chaltay !!
Dosti Kay Rishto Ki ..
Parwarish Zaroori Hay ..
Silsilay Taluq Kay,
Khud Say Ban To Jatay Hain ..
Laikin In Shagoofo'n Ko ..
Tootnay Bikhernay Say ..
Rokna Bhi Parta Hay !!
Chahato'n Ki Matti Ko ..
Arzoo Kay Poday Ko,
Seenchna Bhi Parta Hay !!
Ranjisho'n Ki Bato'n Ko ..
Bhoolna Bhi Parta Hay !!

Kion Kay ..

Ishq Kay ilaqay Main ..
Hukm-e-Yaar Chalta Hay ..
Zaabtay Nahi Chaltay ..

MeOw*
07-25-2009, 03:28 PM
aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa

itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa

tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa

zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa

duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa

!~*SOoLi
07-25-2009, 03:29 PM
Revy Cine Rashing .. Peek it Pu ! :laugh:

SHAYAN
07-25-2009, 03:30 PM
H~Z Cha Gayi :rose5wd:

MeOw*
07-25-2009, 03:30 PM
ab ke ham bichhare to shaayad kabhii Khvaabon main milain
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon main milain

dhondh ujare hue logon main vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon main milain

tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaan hain to kyon itane hijaabon main milain

Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar main shaamil kar lo
nashaa barataa hai sharabain jo sharaabon main milain

aaj ham daar pe khainche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal wo zamaane ko nisaabon main milain

ab na wo main hon na tu hai na wo maazii hai `Faraaz'
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon main milain

MeOw*
07-25-2009, 03:30 PM
thnx hafsa..

MeOw*
07-25-2009, 03:30 PM
thnx sooli :p

MeOw*
07-25-2009, 03:31 PM
ab ke tajdid-e-vafa ka nahin imkan jana
yad kya tujh ko dilayain tera paiman jana

yon hi mausam ki ada dekh ke yad aya hai
kis qadar jald badal jate hain insan jana

zindagi teri ata thi so tere nam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki tera ehsan jana

dil ye kahata hai ki shayad ho fasurda tu bhi
dil ki kya bat karain dil to hai nadan jana

avval-avval ki muhabbat ke nashe yad to kar
bepiye bhi tera chehara tha gulistan jana

akhir akhir to ye alam hai ki ab hosh nahin
rag-e-mina sulag uthi ki rag-e-jan jana

muddaton se ye alam na tavaqqo na ummid
dil pukare hi chala jata hai jana jana

ham bhi kya sada the ham ne bhi samajh rakha tha
gam-e-dauran se juda hai gam-e-jana jana

ab ki kuch aisi saji mahafil-e-yaran jana
sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gireban jana

har koi apani hi avaz se kanp uthata hai
har koi apane hi saye se hirasan jana

jis ko dekho vahi zanjir-ba-pa lagata hai
shahar ka shahar hua dakhil-e-zindan jana

ab tera zikr bhi shayad hi gazal main aye
aur se aur hua dard ka unvan jana

ham ki ruthi hui rut ko bhi mana lete the
ham ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jana

hosh aya to sabhi khvab the reza-reza
jaise urate huye auraq-e-pareshan jana

MeOw*
07-25-2009, 03:31 PM
thnx shayan

SHAYAN
07-25-2009, 03:31 PM
:4uxjr01:

SHAYAN
07-25-2009, 03:32 PM
:bailan:

MeOw*
07-25-2009, 03:32 PM
ab kis ka jashn manate ho us des ka jo taqsim hua
ab kis k git sunate ho us tan-man ka jo do-nim hua

us khvab ka jo reza reza un ankhon ki taqdir hua
us nam ka jo tukra tukra galiyon main be-tauqir hua

us parcham ka jis ki hurmat bazaron main nilam hui
us mitti ka jis ki hurmat mansub udu k nam hui

us jang ko jo tum har chuk us rasm ka jo jari bhi nahin
us zakhm ka jo sine pe na tha us jan ka jo vari bhi nahin

us khun ka jo badqismat tha rahon main bahaya tan main raha
us phul ka jo beqimat tha angan main khila ya ban main raha

us mashriq ka jis ko tum ne neze ki ani marham samajha
us magrib ka jis ko tum ne jitna bhi luta kam samajha

un masumon ka jin k lahu se tum ne farozan raten kin
ya un mazlumon ka jis se khanjar ki zuban main baten kin

us mariyam ka jis ki iffat lutti hai bhare bazaron main
us isa ka jo qatil hai aur shamil hai gamkhvaron main

in nauhagaron ka jin ne hamain khud qatl kiya khud rote hain
aise bhi kahin damsaz hue aise jallad bhi hote hain

un bhuk nange dhanchon ka jo raqs sar-e-bazar karain
ya un zalim qazzaqon ka jo bhes badal kar var karain

ya un Jhute iqraron ka jo aj talak aifa na hue
ya un bebas lacharon ka jo aur bhi dukh ka nishana hue

is shahi ka jo dast-ba-dast ai hai tumhare hisse main
kyon nang-e-vatan ki bat karo kya rakha hai is qisse main

ankhon main chupaye ashkon ko honthon main vafa k bol liye
is jashn main bhi shamil hun nauhon se bhara kashkol liye

SHAYAN
07-25-2009, 03:32 PM
Chalo Mje Jhooley Du :swing::swing:

MeOw*
07-25-2009, 03:33 PM
ab naye sal ki mohlat nahin milne vali
a chuk ab to shab-o-roz azabon vale

ab to sab dashna-o-khanjar ki zuban bolte hain
ab kahan log muhabbat k nisabon vale

zinda rahne ki tamanna ho to ho jate hain
fakhtaon k bhi kirdar uqabon vale

na mere zakhm khile hain na tera rang-e-hina
mausam aye hi nahin ab k gulabon vale

MeOw*
07-25-2009, 03:34 PM
shayan poetry section main aye ho ap ..

kisi park main nahi aye .. :0001:

MeOw*
07-25-2009, 03:34 PM
aise chup hain ke ye manzil bhi kari ho jaise
teraa milanaa bhi judaai ki ghari ho jaise

apane hi saaye se har gaam laraz jaataa hon
raaste main koi divaar khari ho jaise

manzilain duur bhi hain manzilain nazadik bhi hain
apane hi paaon main zanjir pari ho jaise

kitane naadaan hain tere bhulane vaale ke tujhe
yaad karane ke liye umr pari ho jaise

aaj dil khol ke roye hain to yon Khush hai 'Faraz'
chand lamhon ki ye raahat bhi bari ho jaise

MeOw*
07-25-2009, 03:34 PM
badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai
ke zahar-e-gam kaa nashaa bhi sharaab jaisa hai

kahaan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhi khvaab jaisa hai

magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi
dil aainaa hai to cheharaa kitaab jaisa hai

wo samane hai magar tishnagi nahin jaati
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisa hai

'Faraz' sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi
hamain aziz hai khaanaakharaab jaisa hai

MeOw*
07-25-2009, 03:35 PM
alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar main
ban jaaye jangalon main jis tarah raastaa sa

khvaabon main khvaab us ke yaadon main yaad us ki
nindon main ghul gayaa ho jaise ke ratjagaa sa

pahale bhi log aaye kitane hi zindagi main
wo har tarah se lekin auron se thaa judaa sa

agali muhabbaton ne wo naamuraadiyaan din
taazaa rafaaqaton se dil thaa daraa daraa sa

kuchh ye ke muddaton se ham bhi nahin the roye
kuchh zahar main bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasa

phir yon huaa ke savan aankhon main aa base the
phir yon huaa ke jaise dil bhi thaa aabalaa sa

ab sach kahain to yaaro ham ko khabar nahin thi
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqiaa zaraa sa

tevar the berukhi ke andaaz dosti ke
wo ajanabi thaa lekin lagataa thaa aashnaa sa

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq thaa zonum ham ko jab wo nahin thaa pyaasa

ham ne bhi us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
apanaa bhi haal hai ab logo 'Faraz' kaa sa

MeOw*
07-25-2009, 03:36 PM
beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
tum bhii auron kii tarah mujh se judaa ho jaanaa

main bhii palakon pe sajaa longaa lahuu kii bondain
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa

Khalq kii sangzanii merii Khataaon kaa silaa
tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa

ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaana

SHAYAN
07-25-2009, 03:36 PM
:date: Chalo Phr Park Me Chalein ... :go_out2:

MeOw*
07-25-2009, 03:36 PM
chere main ne kabhi lab-o-rukhsar ke qisse
gahe gul-o-bulbul ki hikaayat ko nikhaaraa

gahe kisi shahazaade ke afsane sunaaye
gahe kyaa duniyaa-e-paristaan kaa nazaaraa

main khoyaa rahaa jin-o-malaik ke jahaan main
har lahajaa agarche mujhe aadam ne pukaaraa

barason yon hi diljami-e-aurang ki khaatir
sau phuul khilaaye kabhi sau zakhm kharide

main likhataa rahaa hijv bagaavat manshon ki
main parhataa rahaa qasrnashinon ke qaside

ubharaa bhi agar dil main koi jazabaa-e-sarkash
is khauf se chup thaa ke koi honTh na si de

lekin ye tilismaat bhi taa der na rah paaye
aakhir mai-o-minaa-o-daf-o-chang bhi TuutTe

yon dast-o-garebaan huaa insan-o-khudaaband
nakhachir to tarape qafas-e-rang bhi TuuTe

is kashmakash-e-zarraa-o-anjum ki fizaa main
kashkol to kyaa afsar-o-aurang bhi TuuTe

main dekh rahaa thaa mere yaaron ne barhakar
qaatil ko pukaaraa kabhi maqtal ko sadaa di

gahe rasn-o-daar ke aagosh main jhuule
gahe haram-o-dair ki buniyaad hilaa di

jis aag se bharpuur thaa maahaul kaa sinaa
wo aag mere lauh-o-qalam ko bhi pilaa di

aur aaj shikastaa huaa har tauq-e-talaai
ab fan meraa darbaar ki jagir nahin hai

ab meraa hunar hai mere jamahuur ki daulat
ab meraa junon kaif-e-taazir nahin hai

ab dil pe jo guzaregi be-Tok kahongaa
ab mere qalam main koi zanjir nahin hai

SHAYAN
07-25-2009, 03:39 PM
Zaberdast Collection Yar :660z6zk:

MeOw*
07-25-2009, 03:40 PM
i knw shayan :bailan:

D.M
07-25-2009, 03:40 PM
gudh 1
nice hz
thnx for sharing.... :)

D.M
07-25-2009, 03:41 PM
qisse terii nazar ne sunaaye na phir kabhii
ham ne bhii dil ke daaG dikhaaye na phir kabhii

ai yaad-e-dost aaj tuu jii bhar ke dil dukhaa
shaayad ye raat hijr kii aaye na phir kabhii

D.M
07-25-2009, 03:42 PM
yaad nahi kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye
us kii galiyon se jab lauTe apanaa bhii ghar bhuul gaye

Khuub gaye pardes ki apane diivaar-o-dar bhuul gaye
shiish-mahal ne aisaa gheraa miTTii ke ghar bhuul gaye

tujh ko bhii jab apanii qasamen apane vaade yaad nahii
ham bhii apane Khvaab terii aaNkhon mein rakh kar bhuul gaye

mujh ko jinhone qatl kiyaa hai koii unhein batalaaye "Nazeer"
merii laash ke pahaluu mein vo apanaa Khanjar bhuul gaye

MeOw*
07-25-2009, 03:42 PM
Thank You ... D.M .. :choza:

D.M
07-25-2009, 03:43 PM
choDiye choDiye ye batein to afasaane hain
ham bhii diivaane hain jo aap ke diivaane hain

mar ke bhii aap ko rusvaa nahi hone denge
jal ke badanaam jo karate hain vo paravaane hain

aaj insaaN ne bhulaa Daale hain yazadaaN ke karam
ham ne to zulm bhii ehasaan tere jaane hain

yun to saaye kii tarah saath vo rahate hain mere
phir bhii mahasuus ye hotaa hai vo begaane hain

meraa izhaar-e-mohabbat na samajh paaye aap
ye meraa dukh ye meraa dard to anjaane hain

MeOw*
07-25-2009, 03:44 PM
nice1

D.M
07-25-2009, 03:48 PM
thnx hz

Jhuki Palkein
07-25-2009, 04:58 PM
Nice Choice SisO.

Nida-H
07-25-2009, 05:56 PM
Very Nice Collection.. :cheer:

FAJAAN
07-25-2009, 06:19 PM
nyce collection jerry kaha say dhoondli tum kab say mehnat karnay laggi lolz

MeOw*
07-25-2009, 07:43 PM
thnx fajaan

ab main bhi mehnat karne lagi hon lolzz :10:

MeOw*
07-25-2009, 07:46 PM
thnx Ruby`

MeOw*
07-25-2009, 07:46 PM
thnx Palkein

life2
07-25-2009, 10:53 PM
nyc

Dast-e-Tanhai
07-26-2009, 01:12 PM
very nice

MeOw*
07-26-2009, 02:06 PM
Dil bhi bujha ho sham ki parchaiyan bhi hon
mar jaiye jo aise main tanhaiyan bhi hon

ankhon ki surkh lahar hai mauj-e-suparadagi
ye kya zarur hai ke ab angaraiyan bhi hon

har husn-e-sada lau na dil main utar saka
kuch to mizaj-e-yar main geharaiyan bhi hon

duniya ke tazakire to tabiyat hi le bujhe
bat us ki ho to phir sukhan araiyan bhi hon

pahale pahal ka ishq abhi yad hai 'Faraz'
dil khud ye chahata hai ke rusvaiyan bhi hon

MeOw*
07-26-2009, 02:06 PM
thnx life & Tanhai ..

MeOw*
07-26-2009, 02:07 PM
dost ban kar bhii nahiin saath nibhane wala
vahii andaaz hai zaalim kaa zamaanevaalaa

ab ise log samajhate hain giraftaar meraa
saKht nadiim hai mujhe daam main laanevaalaa

kyaa kahain kitane maraasim the hamaare is se
wo jo ik shaKhs hai monh pher ke jaanevaalaa

tere hote hue aa jaatii thii saarii duniyaa
aaj tanhaa hon to koii nahiin aanevaalaa

muntazir kis kaa hon TuuTii huii dahaliiz pe main
kaun aayegaa yahaan kaun hai aanevaalaa

main ne dekhaa hai bahaaron main chaman ko jalate
hai koii Khvaab kii taabiir bataanevaalaa

kyaa Khabar thii jo merii jaan main ghulaa hai itanaa
hai vahii mujh ko sar-e-daar bhii laane vaalaa

tum taqalluf ko bhii iKhalaas samajhate ho 'Faraz'
dost hotaa nahiin har haath milaanevaalaa

MeOw*
07-26-2009, 02:07 PM
'Faraz' ab koi sauda koi junun bhi nahin
magar qarar se din kat rahe hon yun bhi nahin

lab-o-dahan bhi mila guftagu ka fun bhi mila
magar jo dil pe guzarati hai kah sakun bhi nahin

meri zuban ki luknat se badguman na ho
jo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahin

'Faraz' jaise koi diya turbat-e-hava chahe hai
tu pas aye to mumkin hai main rahun bhi nahin

MeOw*
07-26-2009, 02:08 PM
gile fuzul the ahad-e-vafa k hote hue
so chup raha sitam-e-narava k hote hue

ye qurbaton main ajab fasle pare k mujhe
hai ashna ki talab ashna k hote hue

vo hilagar hain jo majburiyan shumar karain
chirag ham ne jalayen hava k hote huye

na kar kisi pe bharosa k kashtiyan dubin
khuda k hote huye nakhuda k hote huye

kaise khabar hai k kasa-ba-dast phirte hain
bahut se log saron par huma k hote hue

'Faraz' aise bhi lamhen kabhi kabhi aye
k dil girifta raha dilruba k hote hue

MeOw*
07-26-2009, 02:09 PM
sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa
kahti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa kya

zina saba kaa Dhundati hai apni musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar ka hai astana kya

ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya

betab hai kamal hamara dil-e-aziim
mahmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya

MeOw*
07-26-2009, 02:09 PM
hava k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
chirag ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya

pukarte rahe mahafuz kishtiyon vale
main dubte hua dariya k par utar bhi gaya

ab ehtiyat ki divar kya uthate ho
jo chor dil main chupa tha vo kam kar bhi gaya

main chup raha k is main thi afiyat jan ki
koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya

sulagate sochte viran mausamon ki tarah
kara tha ahad-e-javani magar guzar bhi gaya

jise bhula na saka us ko yad kya rakhta
jo nam dil main raha zehan se utar bhi gaya

phati-phati hui ankhon se yun na dekh mujhe
tujhe talash hai jis ki vo shaKhs mar bhi gaya

magar falak ki adavat usi k ghar se na thi
jahan 'Faraz' na tha sail-e-gam udhar bhi gaya

MeOw*
07-26-2009, 02:10 PM
himmat-e-iltija nahin baqi
zabt ka hausla nahin baqi

ik teri did chin gai mujh se
warna duniya main kya nahin baqi

apni mashq-e-sitam se hath na khench
main nahin ya wafa nahin baqi

teri chashm-e-alamnawaz ki khair
dil main koi gila nahin baqi

ho chuka khatm ahad-e-hijr-o-wisal
zindagi main maza nahin baqi

MeOw*
07-26-2009, 02:10 PM
huii hai shaam to aankhon main bas gayaa phir tuu
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu

bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se
jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tuu

merii misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa hon
teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taair tuu

main jaanataa hon ke duniyaa tujhe badal degii
main maanataa hon ke aisaa nahiin bazaahir tuu

hansii Khushii se bichhar jaa agar bichharanaa hai
ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tuu

'Faraz' tuune use mushkilon main daal diyaa
zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu

MeOw*
07-26-2009, 02:11 PM
inhin khushgumaniyon main kahin jan se bhi na jao
vo jo charagar nahin hai use zaKhm kyun dhikhao

ye udasiyon k mausam kahin rayegan na jayen
kisi zaKhm ko kuredo kisi dard ko jagao

vo kahaniyan adhuri jo na ho sakaingi puri
unhen main bhi kyun sunaun unhen tum bhi kyun sunao

mere hamsafar purane mere ab bhi muntazir hain
tumhen sath chorna hai to abhi se chor jao

ye judaiyon k raste bari dur tak gaye hain
jo gaya vo phir na lauta meri bat man jao

kisi bevafa ki khatir ye junun 'Faraz' kab tak
jo tumhen bhula chuka hai use tum bhi bhul jao

MeOw*
07-26-2009, 02:11 PM
is daur-e-bejunun ki kahani koi likho
jismon ko barf khun ko pani koi likho

koi kaho k hath qalam kis tarah hue
kyun ruk gai qalam ki ravani koi likho

kyon ahal-e-shauq sar-va-gareban hain dosto
kyon khun-ba-dil hai ahad-e-javani koi likho

kyon surma-dar-gulu hai har ek tayar-e-sukhan
kyon gulsitan qafas ka hai sani koi likho

han taza sanehon ka kare kaun intazar
han dil ki varadat purani koi likho

Cute E$hal
07-26-2009, 05:53 PM
nyc collection sani

MeOw*
07-27-2009, 02:25 PM
thnx Eshal

dont depend on others
07-27-2009, 02:46 PM
V v nice collection budy

MeOw*
07-27-2009, 02:53 PM
thnx dn`t depend

$tr@wberry
07-27-2009, 03:51 PM
vnyce

MeOw*
07-27-2009, 04:50 PM
thnx

K@IN@@T
07-27-2009, 04:51 PM
v nice

MeOw*
07-27-2009, 04:59 PM
thnx hafsa ..

SHAYAN
07-27-2009, 07:57 PM
Zaberdast Poetriz...:)

MeOw*
07-28-2009, 01:29 PM
thnx shayan

MeOw*
07-28-2009, 01:38 PM
sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa
kahti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa kya

zina saba kaa Dhundati hai apni musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar ka hai astana kya

ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya

betab hai kamal hamara dil-e-aziim
mahmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya

MeOw*
07-28-2009, 01:40 PM
hava k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
chirag ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya

pukarte rahe mahafuz kishtiyon vale
main dubte hua dariya k par utar bhi gaya

ab ehtiyat ki divar kya uthate ho
jo chor dil main chupa tha vo kam kar bhi gaya

main chup raha k is main thi afiyat jan ki
koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya

sulagate sochte viran mausamon ki tarah
kara tha ahad-e-javani magar guzar bhi gaya

jise bhula na saka us ko yad kya rakhta
jo nam dil main raha zehan se utar bhi gaya

phati-phati hui ankhon se yun na dekh mujhe
tujhe talash hai jis ki vo shaKhs mar bhi gaya

magar falak ki adavat usi k ghar se na thi
jahan 'Faraz' na tha sail-e-gam udhar bhi gaya

MeOw*
07-28-2009, 01:41 PM
huii hai shaam to aankhon main bas gayaa phir tuu
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu

bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se
jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tuu

merii misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa hon
teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taair tuu

main jaanataa hon ke duniyaa tujhe badal degii
main maanataa hon ke aisaa nahiin bazaahir tuu

hansii Khushii se bichhar jaa agar bichharanaa hai
ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tuu

'Faraz' tuune use mushkilon main daal diyaa
zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu

MeOw*
07-28-2009, 01:44 PM
inhin khushgumaniyon main kahin jan se bhi na jao
vo jo charagar nahin hai use zaKhm kyun dhikhao

ye udasiyon k mausam kahin rayegan na jayen
kisi zaKhm ko kuredo kisi dard ko jagao

vo kahaniyan adhuri jo na ho sakaingi puri
unhen main bhi kyun sunaun unhen tum bhi kyun sunao

mere hamsafar purane mere ab bhi muntazir hain
tumhen sath chorna hai to abhi se chor jao

ye judaiyon k raste bari dur tak gaye hain
jo gaya vo phir na lauta meri bat man jao

kisi bevafa ki khatir ye junun 'Faraz' kab tak
jo tumhen bhula chuka hai use tum bhi bhul jao

MeOw*
07-28-2009, 01:45 PM
is daur-e-bejunun ki kahani koi likho
jismon ko barf khun ko pani koi likho

koi kaho k hath qalam kis tarah hue
kyun ruk gai qalam ki ravani koi likho

kyon ahal-e-shauq sar-va-gareban hain dosto
kyon khun-ba-dil hai ahad-e-javani koi likho

kyon surma-dar-gulu hai har ek tayar-e-sukhan
kyon gulsitan qafas ka hai sani koi likho

han taza sanehon ka kare kaun intazar
han dil ki varadat purani koi likho

MeOw*
07-28-2009, 01:46 PM
is qadar musalsal thin shidaten judai ki
aj pahali bar main ne us sa bevafai ki

varana ab talak yun tha khvahishon ki barish main
ya to tut kar roya ya gazalsarai ki

taj diya tha kal jin ko ham ne teri chahat main
aj un se majburan taza ashanai ki

ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se
tune kis ghari zalim meri hamnavai ki

tanz-o-tana-o-tohmat sab hunar hain naseh k
ap se koi puche ham ne kya burai ki

phir qafas main shor utha qaidiyon ka aur sayyad
dekhrna ura dega phir khabar rihai ki

MeOw*
07-28-2009, 01:47 PM
is se pahale ke bevafa ho jayain
kyon na ai dost ham juda ho jayain

tu bhi hire se ban gaya patthar
ham bhi kal kya se kya ho jayain

ham bhi majaburiyon ka uzr karain
aur kahin aur mubtala ho jayain

ishq bhi khel hai nasibon ka
khak ho jayain kimiya ho jayain

ab ke gar tu mile to ham tujh se
aise lipatain teri qaba ho jayain

bandagi ham ne cho.d di hai 'Faraz'
kya karain log jab khuda ho jayain

MeOw*
07-28-2009, 01:49 PM
juz tere koi bhi din rat na jane mere
tu kahan hai magar ai dost purane mere

tu bhi khushbu hai magar mera tajassus bekar
barq-e-avara ki manind thikhane mere

shama ki lau thi ke wo tu tha magar hijr ki rat
der tak rota raha koi sirhane mere

khalq ki bekhabari hai ke meri rusavai
log mujh ko hi sunate hain fasane mere

lut ke bhi khush hon ke ashkon se bhara hai daman
dekh garatgare dil ye bhi khazane mere

aj ik aur baras bit gaya us ke bagair
jis ke hote hue hote the zamane mere

kash tu bhi meri avaz sunata ho
phir pukare hai tujhe dil ki sada ne mere

kash tu bhi kabhi ajaye masihai ko
log ate hain bahut dil ko dukhane mere

kash auron ki tarah main bhi kah sakata
bat sun li hai meri aj khuda ne mere

tu hai kis hal main ai zudfaramosh mere
mujh ko to chin liya ahad-e-vafa ne mere

charagar yon to bahut hain magar ai jan-e-'Faraz'
juz tere aur koi gam na jane mere

dont depend on others
07-29-2009, 10:03 AM
nice collection budy

MeOw*
07-29-2009, 12:47 PM
thnx dn`t dpend

A L i
07-29-2009, 12:53 PM
very nice collection

& amazing thanks :thumb:

MeOw*
07-29-2009, 01:39 PM
thnx ALi ..

Alia
07-29-2009, 01:43 PM
:Brilliant:

nyc billi

!~*SOoLi
07-29-2009, 01:58 PM
1

!~*SOoLi
07-29-2009, 01:58 PM
2

!~*SOoLi
07-29-2009, 01:59 PM
3

!~*SOoLi
07-29-2009, 01:59 PM
Go?

!~*SOoLi
07-29-2009, 01:59 PM
.....

MeOw*
07-29-2009, 02:05 PM
thnx Alia ..

MeOw*
07-29-2009, 02:06 PM
yeah GoooOoOoO !! :giggle:

!~*SOoLi
07-29-2009, 03:41 PM
Achawww :o .. Yeah Lo Phir Go!!!! :)

!~*SOoLi
07-29-2009, 03:45 PM
Chalo Rehnay Do Meri Shikayat Hojaye Gi :(

Raheel
07-29-2009, 06:42 PM
Nice sharing ghazala :handshake:

life2
07-30-2009, 12:13 AM
nyc

MeOw*
07-30-2009, 06:36 PM
thnx Raheel & life2

SHAYAN
07-30-2009, 08:33 PM
Fabolouz :D

MeOw*
07-31-2009, 03:21 PM
thnx :D

K@IN@@T
07-31-2009, 03:40 PM
V nice

MeOw*
07-31-2009, 04:42 PM
thnx Hafsa..

!~*SOoLi
07-31-2009, 04:44 PM
Wah Eh Zed .. Humain Aap ki Shairi Pasand Ayi .. Takhliyaa!! :crazy4:

Nida-H
07-31-2009, 04:45 PM
Nice Collection.. :cheer:

MeOw*
07-31-2009, 04:51 PM
Thank you Sooli :choza:

MeOw*
07-31-2009, 04:51 PM
thnx hmm.. :cheer:

MeOw*
08-01-2009, 03:15 PM
kaha tha kis ne ke ahad-e-vafa karo us se
jo yon kiya hai to phir kyon gila karo us se

ye ahl-e-baz tunak hausala sahi phir bhi
zara fasana-e-dil ibtida karo us se

ye kya ke tum hi gam-e-hijr ke fasane kaho
kabhi to us ke bahane suna karo us se

nasib phir koi taqrib-e-qarb ho ke na ho
jo dil main hon vahi batain kiya karo us se

'Faraz' tark-e-ta'alluq to khair kya hoga
yahi bahut hai ke kam kam mila karo us se

MeOw*
08-01-2009, 03:17 PM
karon na yad agar kis tarah bhulaon use
gazal bahana karon aur gungunaon use

wo khar-khar hai shakh-e-gulab ki manind
main zakhm-zakhm hon phir bhi gale lagaon use

ye log tazakare karate hain apne logon se
main kaise bat karon aur kahan se laon use

magar wo zudfaramosh zud ranj bhi hai
ke ruth jaye agar yad kuch dilaon use

vahi jo daulat-e-dil hai vahi jo rahat-e-jan
tumhari bat pe ai nasiho ganvaon use

jo hamsafar sar-e-manzil bichar raha hai 'Faraz'
ajab nahin ki agar yad bhi na aon use

dont depend on others
08-01-2009, 03:37 PM
v nice keep it up

MeOw*
08-01-2009, 04:34 PM
thnx

MeOw*
08-02-2009, 04:02 PM
hava k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
chirag ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya

pukarte rahe mahafuz kishtiyon vale
main dubte hua dariya k par utar bhi gaya

ab ehtiyat ki divar kya uthate ho
jo chor dil main chupa tha vo kam kar bhi gaya

main chup raha k is main thi afiyat jan ki
koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya

sulagate sochte viran mausamon ki tarah
kara tha ahad-e-javani magar guzar bhi gaya

jise bhula na saka us ko yad kya rakhta
jo nam dil main raha zehan se utar bhi gaya

phati-phati hui ankhon se yun na dekh mujhe
tujhe talash hai jis ki vo shaKhs mar bhi gaya

magar falak ki adavat usi k ghar se na thi
jahan 'Faraz' na tha sail-e-gam udhar bhi gaya

MeOw*
08-02-2009, 04:04 PM
himmat-e-iltija nahin baqi
zabt ka hausla nahin baqi

ik teri did chin gai mujh se
warna duniya main kya nahin baqi

apni mashq-e-sitam se hath na khench
main nahin ya wafa nahin baqi

teri chashm-e-alamnawaz ki khair
dil main koi gila nahin baqi

ho chuka khatm ahad-e-hijr-o-wisal
zindagi main maza nahin baqi

MeOw*
08-02-2009, 04:05 PM
is se pahale ke bevafa ho jayain
kyon na ai dost ham juda ho jayain

tu bhi hire se ban gaya patthar
ham bhi kal kya se kya ho jayain

ham bhi majaburiyon ka uzr karain
aur kahin aur mubtala ho jayain

ishq bhi khel hai nasibon ka
khak ho jayain kimiya ho jayain

ab ke gar tu mile to ham tujh se
aise lipatain teri qaba ho jayain

bandagi ham ne cho.d di hai 'Faraz'
kya karain log jab khuda ho jayain

MeOw*
08-02-2009, 04:05 PM
huii hai shaam to aankhon main bas gayaa phir tuu
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu

bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se
jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tuu

merii misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa hon
teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taair tuu

main jaanataa hon ke duniyaa tujhe badal degii
main maanataa hon ke aisaa nahiin bazaahir tuu

hansii Khushii se bichhar jaa agar bichharanaa hai
ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tuu

'Faraz' tuune use mushkilon main daal diyaa
zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu

MeOw*
08-02-2009, 04:07 PM
inhin khushgumaniyon main kahin jan se bhi na jao
vo jo charagar nahin hai use zaKhm kyun dhikhao

ye udasiyon k mausam kahin rayegan na jayen
kisi zaKhm ko kuredo kisi dard ko jagao

vo kahaniyan adhuri jo na ho sakaingi puri
unhen main bhi kyun sunaun unhen tum bhi kyun sunao

mere hamsafar purane mere ab bhi muntazir hain
tumhen sath chorna hai to abhi se chor jao

ye judaiyon k raste bari dur tak gaye hain
jo gaya vo phir na lauta meri bat man jao

kisi bevafa ki khatir ye junun 'Faraz' kab tak
jo tumhen bhula chuka hai use tum bhi bhul jao

MeOw*
08-02-2009, 04:10 PM
is daur-e-bejunun ki kahani koi likho
jismon ko barf khun ko pani koi likho

koi kaho k hath qalam kis tarah hue
kyun ruk gai qalam ki ravani koi likho

kyon ahal-e-shauq sar-va-gareban hain dosto
kyon khun-ba-dil hai ahad-e-javani koi likho

kyon surma-dar-gulu hai har ek tayar-e-sukhan
kyon gulsitan qafas ka hai sani koi likho

han taza sanehon ka kare kaun intazar
han dil ki varadat purani koi likho

MeOw*
08-02-2009, 04:11 PM
is qadar musalsal thin shidaten judai ki
aj pahali bar main ne us sa bevafai ki

varana ab talak yun tha khvahishon ki barish main
ya to tut kar roya ya gazalsarai ki

taj diya tha kal jin ko ham ne teri chahat main
aj un se majburan taza ashanai ki

ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se
tune kis ghari zalim meri hamnavai ki

tanz-o-tana-o-tohmat sab hunar hain naseh k
ap se koi puche ham ne kya burai ki

phir qafas main shor utha qaidiyon ka aur sayyad
dekhrna ura dega phir khabar rihai ki

Ghuncha
08-02-2009, 04:45 PM
Buhat Umdaaaaaaa

MeOw*
08-03-2009, 10:37 AM
thnx Ghuncha..

K@IN@@T
08-03-2009, 03:46 PM
zabardast api

MeOw*
08-03-2009, 09:51 PM
thnx hafsa..

life2
08-03-2009, 10:09 PM
nyc/...

AKHROT
08-03-2009, 10:10 PM
such a beautiful sharing :D

MeOw*
08-03-2009, 10:12 PM
thnx life
==========================
Post Auto Merge
==========================
thnx chaltaz

AKHROT
08-03-2009, 10:19 PM
no problem dortaz :D

safa
08-04-2009, 07:58 AM
nice.......................

MeOw*
08-04-2009, 02:19 PM
thnx safa

SHAYAN
08-06-2009, 06:32 PM
V.Nyc.. :)

MeOw*
08-06-2009, 10:14 PM
thnx shayan

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.