Hussain
07-21-2009, 11:32 AM
parakhna mat parakhne mein koi apna nahi rehta
kisi bhi aaine mein der tak chehra nahi rehta
hazaron shair mere so gaye kaghaz ki qabron mein
ajab maan hun koi baccha mera zinda nahi rehta
bare logon se milne mein hamesha faasla rakhna
jahan dariya samamdar se mila dariya nahi rehta
tumhara sheher tau bilkul naye andaaz wala hai
hamare sheher mein bhi ab koi hamsa nahi rehta
koi baadal naye mausam ka phir elaan karta hai
khizaan k baagh mein jab ek bhi patta nahi rehta
mohobbat ek khushbu hai hamesha saath rehti hai
koi insaan tanhai mein bhi tanha nahi rehta