View Full Version : U r NEVER ALONE..
Humaila
10-02-2008, 01:16 AM
U R NEVER
http://i31.photobucket.com/albums/c370/tsuilove/lonely.jpg
http://i468.photobucket.com/albums/rr49/whehehehe/Lonely-1.jpg
http://i307.photobucket.com/albums/nn307/natmcanally/LONELY.jpg
BECAUSE
U .........
...................HAVE
:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::: ::::::
http://i356.photobucket.com/albums/oo1/suthiya/allah.png
umair8005
10-02-2008, 09:58 AM
hmm....ryt
Hussain
10-02-2008, 11:38 AM
ryt
tfs
A L i
10-02-2008, 05:44 PM
SubahALLAh nice post very right
Humaila
10-02-2008, 06:45 PM
Thanks 4TCS
HarD-RocK
10-02-2008, 06:51 PM
Thnx Fo ShaRing Wid us !! Well Humaila shaiTan bi tu har jagah har waqT hoTa hey hamay bekhainay key lye us ke pic nai lagaye ?
Humaila
10-02-2008, 06:56 PM
Aapne sahi farmaya "Hard-Rock".. Lekin satan ko hum dekh to nahi saktey na.. Aur jub humey aise mehsoos kar rahey hotey hai yhe bhi satan ka hi kam hota hai key hum akele mehsoos karey.. Cause ALLAH(swt) key bandey kabhi aapney aap ko akela mehsoos nahi kartey.. ..
baqi ALLAH(swt) behtaar janey wala hai
HarD-RocK
10-02-2008, 07:13 PM
Acha ALLAH tu har jagah mojood hoTa hey Lekin phir bi hum gunah kion karTay hein ? !! Aur ek BaaT kabi kabi aisa hoTa hey key koi bhokha hoTa hey ya phir koi us say ziadTi kar raha hoon hoTa hey ya phir koi bi masLa ho raha hoTa hey tu ALLAH tu sub dekh rahay hoTay hein tu phir us insan ke madad kion nai karTay hein ? ya us ko burai say kion nai rokTay hein ?
Humaila
10-02-2008, 07:42 PM

Very good sawal, .. Yhe to waise hi hogaya na key Adam(as) Aur hawa((as) ney who kam kyo kya jisse Allah(swt) ney mana farmaya tha.. Aghar who kam na kartey to who dunya par na atey.. Allah(swt) ko sub ilm hota hai key aghey kya hona hai.Jaise example mein Hazrat Khizr(as) ka deti hoon.. Onko Ghaib ka ilm tha, onko ALLAH(swt) ney ata kia tha.. Who jan saktey they key aghey kya hona hai.. Hazrat Khizr aur Musa (as) they, Aur Hazrat Khizr(as) ney farmaya "Ay mosa, jo mein karonga, oss par tumne kuch nahi bholne... " hazrat Mosa(as) ney farmaya thikk hai. Onka safar chal parha.. Rastey mein onho ney aik kashtee dekhi, Bohat khoobsoorat thi,kissi ghareeb ki thi.. Hazrat Khizr(as) ney oss mein surakh kar dya, Musa (as) hairaan howe aur farmaya key yhe to acha nahi kia.yhe kissi ghareeb ki kashetee thi. Lekin Hazrat Khizr (as) ney farmaya mene kaha tha key aapney nahi bolna.. Musa(as) ney farma thikk hai nehi bolonga..
rastey mein onko aik bacha mila, hazrat Khizr(as) ney ossko maar dya.. Mosa(as) shock mein agay, aur farmaya key yhe to aik masoom bacha tha.. Hazrat Khizr(as) ney farmaya.. "Ay Mosa aghar nahi merey sath chal saktey to abhi khatam kar detey hai".. Mosa (as) ney farmaya .. mein nahi bolonga..
Aghey jatey hai to, aik deewar si bani hoti hai, Hazrat Khizr(as) oss deewar ko ghiira detey hai... Phir Mosa(as) ney farmaya key yhe kya kia..
Phir Hazrat Khizr(as) farmatey hai key..
-mene jo kashti mein surakh kia, who islye kya key who kissi ghareeb ki kashti thi, aur aik baadshah hai ossney akar sub khoobsoorrat kashtion ko utha kar le jana tha,.. Mene surakh kia key who jub ay gha to baiqaar samjhey gha kashti ko phir nahi uthay gha.. Aise ghareeb ki roozi nahi jay ghi..
-Bachey ko mene islye qatal kia, kyo key ossney bara hokar aapney waledein ko KAAFIR kar dena tha.. Allah(swt) onko aur ulad de gha..
-Iss deewar ko mene iss lye ghiraya kyo key idhar yaatimo ka maal tha.. Issilye ghira di key koi utha na ley..
.. Aise hi Allah(swt) ko ilm hota hai key aghey kia hona hai,, Humey oss waqt dukh hota hai lekin humari behtaare key lye hi hota hai..
.. Rahi baat Ghuna karney ki.. Iss dunya mein haar insaan ghuna karta hai, kuch chotey ghuna aur kuch log barey ghuna kartey hai.. Jo barey ghuna kartey hai who SATAN key dost hi samajh lo..
ALLAH(swt) oss insaan ko sida rasta dikhata hai jo side rastey par lagna chahta hai.. Example yaha mein SCHOOL ki deti hoon.. AIK teacher ossi student par ziada ghaur karta hai jo parna chahta hai... Phir hum teacher ko blame to nahi de saktey key humey exams mein achey nr nahi miley.. Jub hum khud nahi parthey they..
ALLAH(swt) farmata hai" ay merey bandey to meri taraf 1 qadam bara, mein teri taraf 10 baraon gha.."
..
I hope U got the answers..
.. Baqi ALLAH(swt) behtaar janey wala hai..
HarD-RocK
10-06-2008, 09:53 AM
mein ap ke baat say itefaq karta hoon hazrat hizar (as) ney sorakh kya takay kashti bach jaye bachay ko mar dya takay waldain ko kafir na kar sakay aur dewar gira dee takay mal bach jaye sahi hey is ka matlab hey aj kal jo hum logo par azab a rahay hein woh bi shayad is lye hein hum khatam ho jayein kion key hum tu islam ke islah key lye kuch nai kar rahay hein balkay gunah kartay hein tu kufr ko farogh dey rahay hein (m i right?) iraq ko dekho afghanistan ko dekho ? Lekin yar ek baat aur bi hey meray zehan mein kashmir aur palestin mein jo log allah ke rah mein shaheed ho rahay hein woh tu sirf isi lye jan dey rahay hein na islam ko bachaya jaye chalo kashmiri tu sirf kashmir ke azadi chahtay hein lekin palestani tu sirf islam ko bachanay key lye lar rahay hein so un ke shahadat naseeb ho rahi hey lekin un ke jan lenay ka maksad tu kuch aur hey na key un ke jan ke tu is lye nai allah ley raha na key woh allah ke rah ya naiki ka rah mein koi rukawat hein khair allah ke batein hein hum kya kar saktay hein
Humaila
10-06-2008, 07:56 PM

Abh to hum kissi aur mauzo par aghay hai..
Jo muslmano key sath (yha phir insaan) key sath hota hai who osskey amalo na natijaa hota hai... Abh ALLAH(swt) ka koi shauq nahi hai humey jahanuum mein dalney ka.. .. Lekin aaj kal hum muslmaan kya kar rahey hai??..
Kya koi oss rastey par hai jiss rastey ka hauqam dya ghaya hai quran mein? yha phir jiss rastey MUHAMMAD(sww) aur jitney bhi nabi ghuzer chukey hai they..?.. Nehi naa.. Aaj kal to muslman dosrey muslman ko dushmaan samajhta hai,, KYOO?.. KYo key humey ILM hi nahi hai.. ILM hai bhi to hum sub kuch jaan kar bhi anjaan baney howe hai.. ALLAH(swt) Quran-e-pak mein farmata hai key "mein oss mulk mein zalzaley(earth Q) lata hoon jahaan be-insaafi horahi hoo".. Aur pakistan ko dekh lo aap, koi insaaf ki baat hai waha.. NOPPE.. Aur waha zalzala achuka hai.. lekin humey phir bhi khauf nahi ata..
Palestine ki baat hai to ALLAH(swt) behtaar janey wala hai key kon islam key lye laar raha hai,..( I don't know so much about this war) Lekin itna janti hoon key muslmano ka mulk hai..
Aur yhei aik zindagi hai humarey paas, humey chahie achey amal karna, tak'e hum akhiraat key rooz MUHAMMAD(sww) hum par FAKHAR kare aur kahey key" YHE HAI MERI UMMAH".. Na key who hum par sharminda hoon..
Jub insaan iss dunya se chala jay gha.. Tub koi taubha kam nahi ay ghi,,
jaise exams jub insaan de deta hai to aapney juwab change nahi kar sakta.
ALLAH(swt) hum sub ko achey amal karney ki tofeeq de.. AMIN
RoOZ SoOChTa HouN
11-18-2010, 07:20 PM
Thanks for Sharing
Abewsha
08-21-2011, 04:14 AM
JAzzAkALLAH...!!!
nice sharing..!!
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.