~ Bikhre Lamhe ~
07-13-2009, 07:55 PM
Wo jate jate muje shayir bana gaya
Dil mein chupe us dard k ehsas ko phir jaga gaya
Dekha tha ek haseen khwab us se mulaqat ke baad
Aankhon mein base us khwab ko dekho phir jala gaya
Main ye samjha tha ke taqdeer hi wo meri
Un Qismat ki lakiron ko lo aaj phir wo mita gaya
Koi sugaat tu us se khabi na mili thi muje
Bas ek tasveer thi dil mein us ki wo bi chura gaya
Ubhara tha main kitni muddaton mein jehan se
Us gham ke samandar mein muje phir se dooba gaya
Jee raha tha main khwaabon ke us jehan mein
Muje haqeeqat ka ye manzar lo phir dikha gaya
Toda tha dum kisi shayir ne khabi us ki shayari karte karte
Us ki lash ko kitni muddaton baad kambakht aaj wo dafna gaya